hamari kitab
jo bhī kitābeñ maiñ ne paḌhī haiñ
ek zabāñ ho kar bolī haiñ
ham sab achchhe dost tumhāre
ham sab sachche dost tumhāre
qisse kahānī tumheñ sunāte
bāteñ karte dil bahlāte
duniyā bhar kī sair karāte
ghar baiThe ham tumheñ ghumāte
baḌe baḌoñ se tumheñ milāte
un kī bāteñ tumheñ sunāte
āsmān kī sair karāte
chandā maamā se milvāte
kabhī havā meñ tumheñ uḌāte
kabhī zamīñ kī sair karāte
la.al-o-guhar lafzoñ meñ chhupe haiñ
hiire javāhar bikhre paḌe haiñ
ahl-e-qalam ne jo likkhā hai
ik ik jumla besh-bahā hai
shauq se mujh ko jo paḌhte haiñ
darjoñ meñ achchhe laḌke haiñ
mujh se mohabbat karte haiñ jo
jāgte sote paḌhte haiñ jo
ilm se mālā-māl vahī haiñ
'ġhālib' aur 'iqbāl' vahī haiñ
jo bhi kitaben main ne paDhi hain
ek zaban ho kar boli hain
hum sab achchhe dost tumhaare
hum sab sachche dost tumhaare
qisse kahani tumhein sunate
baaten karte dil bahlate
duniya bhar ki sair karaate
ghar baiThe hum tumhein ghumate
baDe baDon se tumhein milate
un ki baaten tumhein sunate
aasman ki sair karaate
chanda mama se milwate
kabhi hawa mein tumhein uDate
kabhi zamin ki sair karaate
lal-o-guhar lafzon mein chhupe hain
hire jawahar bikhre paDe hain
ahl-e-qalam ne jo likkha hai
ek ek jumla besh-baha hai
shauq se mujh ko jo paDhte hain
darjon mein achchhe laDke hain
mujh se mohabbat karte hain jo
jagte sote paDhte hain jo
ilm se mala-mal wahi hain
'ghaalib' aur 'iqbaal' wahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.