yārab rahe salāmat urdu zabāñ hamārī
har lafz par hai jis ke qurbān jaañ hamārī
misrī sī toltā hai shakkar sī gholtā hai
jo koī boltā hai mīThī zabāñ hamārī
hindū ho pārsī ho īsā.ī ho ki muslim
har ek kī zabāñ hai urdu zabāñ hamārī
duniyā kī boliyoñ se matlab nahīñ hameñ kuchh
urdu hai dil hamārā urdu hai jaañ hamārī
duniyā kī kul zabāneñ būḌhī sī ho chukī haiñ
lekin abhī javāñ hai urdu zabāñ hamārī
apnī zabān se hai izzat jahāñ meñ apnī
gar ho zabāñ na apnī izzat kahāñ hamārī
urdu kī god meñ ham pal kar baḌe hue haiñ
sau jaañ se ham ko pyārī urdu zabāñ hamārī
'āzād'-o-'mīr'-o-'ġhālib' ā.eñge yaad barsoñ
kartī hai naaz jin par urdu zabāñ hamārī
africa ho arab ho america ho ki europe
pahuñchī kahāñ nahīñ hai urdu zabāñ hamārī
miT jā.eñge ham miTne na deñge is ko
hai jān-o-dil se pyārī ham ko zabāñ hamārī
yarab rahe salamat urdu zaban hamari
har lafz par hai jis ke qurban jaan hamari
misri si tolta hai shakkar si gholta hai
jo koi bolta hai miThi zaban hamari
hindu ho parsi ho isai ho ki muslim
har ek ki zaban hai urdu zaban hamari
duniya ki boliyon se matlab nahin hamein kuchh
urdu hai dil hamara urdu hai jaan hamari
duniya ki kul zabanen buDhi si ho chuki hain
lekin abhi jawan hai urdu zaban hamari
apni zaban se hai izzat jahan mein apni
gar ho zaban na apni izzat kahan hamari
urdu ki god mein hum pal kar baDe hue hain
sau jaan se hum ko pyari urdu zaban hamari
'azad'-o-'mir'-o-'ghaalib' aaenge yaad barson
karti hai naz jin par urdu zaban hamari
africa ho arab ho america ho ki europe
pahunchi kahan nahin hai urdu zaban hamari
miT jaenge hum miTne na denge is ko
hai jaan-o-dil se pyari hum ko zaban hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.