hamd
ai ḳhudā hai tū hī mālik-e-do-jahāñ
terī qudrat ke jalve haiñ har sū ayaañ
jagmagā.īñ tire nuur kī bhiik se
chāñd-tāre kiran chāñdnī kahkashāñ
phuul shabnam chaman rañg ḳhushbū dhanak
sab ke sab haiñ terī azmatoñ ke nishāñ
peḌ-paude terī hukmarānī meñ haiñ
tere hī hukm se haiñ samundar ravāñ
terā kalima havāoñ ke hoñToñ pe hai
gūñjtī hai fazāoñ meñ terī azaañ
har bulandī tere sāmne past hai
tere aage jhukā.e hai sar-e-āsmāñ
haath uThā kar yahī māñgte haiñ duā
kar de har dil ko tū pyaar kā gulsitāñ
ai KHuda hai tu hi malik-e-do-jahan
teri qudrat ke jalwe hain har su ayan
jagmagain tere nur ki bhik se
chand-tare kiran chandni kahkashan
phul shabnam chaman rang KHushbu dhanak
sab ke sab hain teri azmaton ke nishan
peD-paude teri hukmarani mein hain
tere hi hukm se hain samundar rawan
tera kalima hawaon ke honTon pe hai
gunjti hai fazaon mein teri azan
har bulandi tere samne past hai
tere aage jhukae hai sar-e-asman
hath uTha kar yahi mangte hain dua
kar de har dil ko tu pyar ka gulsitan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.