hamd ke mani
ghar se jā kar roz savere
maktab aa kar roz savere
jo naġhme gaate ho aksar
gā kar lahrāte ho aksar
hai to vo bhī hamd ḳhudā kī
hamd ḳhudā-e-arz-o-samā kī
lekin vo tārīf bhī kyā hai
sirf zabāñ par jis kī sadā hai
ma.anī haiñ ye hamd ḳhudā ke
hamd ḳhudā-e-arz-o-samā ke
rab ke naam meñ hai jo nekī
vo ham meñ paidā ho nekī
naam hoñ rab ke jis se raushan
kaam hoñ rab ke jis se raushan
kartā hai vo ehsāñ sab par
kyā aaqil kyā nādāñ sab par
ham bhī Dāleñ ḳhū-e-ehsāñ
ham meñ bhī ho bū-e-ehsāñ
raaja yā kañgāl ho koī
gorā ho yā laal ho koī
us kī nazar meñ sabhī barābar
us ke ghar meñ sabhī barābar
ham bhī barābar jāneñ sab ko
ham bhī barābar māneñ sab ko
ro.ab na māneñ dhan daulat kā
farq na jāneñ dhan daulat kā
mazlūmoñ kā haamī hai vo
māsūmoñ kā haamī hai vo
ham bhī logoñ ke kaam aa.eñ
un ke har dukh ko apnā.eñ
hindū muslim sikh īsā.ī
ammī abbā bahnā bhaa.ī
ye to haiñ sab naam hamāre
dekhtā hai vo kaam hamāre
achchhā kaam hai us ko pyārā
nek anjām hai us ko pyārā
ham bhī sab kā rutba māneñ
ham bhī sab ko achchhā jāneñ
jin logoñ ke kaam haiñ achchhe
kāmoñ ke anjām haiñ achchhe
bure bhale se vāqif hai vo
khule Dhake se vāqif hai vo
ham bhī apnā ilm baḌhā.eñ
qudrat ke rāzoñ ko paa.eñ
zālim se hai bair ḳhudā ko
parmeshvar ko an-dātā ko
bas phir ham par farz yahī hai
'zeb' kī tum se arz yahī hai
apnoñ par kyā begānoñ par
rahm karo sab insānoñ par
achchhe insāñ ban ke dikhā do
hamd ke ma.anī sab ko batā do
ghar se ja kar roz sawere
maktab aa kar roz sawere
jo naghme gate ho aksar
ga kar lahraate ho aksar
hai to wo bhi hamd KHuda ki
hamd KHuda-e-arz-o-sama ki
lekin wo tarif bhi kya hai
sirf zaban par jis ki sada hai
mani hain ye hamd KHuda ke
hamd KHuda-e-arz-o-sama ke
rab ke nam mein hai jo neki
wo hum mein paida ho neki
nam hon rab ke jis se raushan
kaam hon rab ke jis se raushan
karta hai wo ehsan sab par
kya aaqil kya nadan sab par
hum bhi Dalen KHu-e-ehsan
hum mein bhi ho bu-e-ehsan
raja ya kangal ho koi
gora ho ya lal ho koi
us ki nazar mein sabhi barabar
us ke ghar mein sabhi barabar
hum bhi barabar jaanen sab ko
hum bhi barabar manen sab ko
roab na manen dhan daulat ka
farq na jaanen dhan daulat ka
mazlumon ka hami hai wo
masumon ka hami hai wo
hum bhi logon ke kaam aaen
un ke har dukh ko apnaen
hindu muslim sikh isai
ammi abba bahna bhai
ye to hain sab nam hamare
dekhta hai wo kaam hamare
achchha kaam hai us ko pyara
nek anjam hai us ko pyara
hum bhi sab ka rutba manen
hum bhi sab ko achchha jaanen
jin logon ke kaam hain achchhe
kaamon ke anjam hain achchhe
bure bhale se waqif hai wo
khule Dhake se waqif hai wo
hum bhi apna ilm baDhaen
qudrat ke raazon ko paen
zalim se hai bair KHuda ko
parmeshwar ko an-data ko
bas phir hum par farz yahi hai
'zeb' ki tum se arz yahi hai
apnon par kya beganon par
rahm karo sab insanon par
achchhe insan ban ke dikha do
hamd ke mani sab ko bata do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.