hamdard
ai dil un āñkhoñ par na jā
jin meñ vafūr-e-rañj se
kuchh der ko tere liye
aañsū agar lahrā ga.e
ye chand lamhoñ kī chamak
jo tujh ko pāgal kar ga.ī
in jugnuoñ ke nuur se
chamkī hai kab vo zindagī
jis ke muqaddar meñ rahī
sub.h-e-talab se tīrgī
kis soch meñ gum-sum hai tū
ai be-ḳhabar nādāñ na ban
terī fasurda ruuh ko
chāhat ke kāñToñ kī talab
aur us ke dāman meñ faqat
hamdardiyoñ ke phuul haiñ
ai dil un aankhon par na ja
jin mein wafur-e-ranj se
kuchh der ko tere liye
aansu agar lahra gae
ye chand lamhon ki chamak
jo tujh ko pagal kar gai
in jugnuon ke nur se
chamki hai kab wo zindagi
jis ke muqaddar mein rahi
subh-e-talab se tirgi
kis soch mein gum-sum hai tu
ai be-KHabar nadan na ban
teri fasurda ruh ko
chahat ke kanTon ki talab
aur us ke daman mein faqat
hamdardiyon ke phul hain
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 317)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.