hamein KHanon mein mat banTo
hameñ ḳhānoñ meñ mat bāñTo
ki ham to raushnī Thahre
kisī dahlīz par jalte hue shab bhar
kisī kā rāsta takte
charāġhoñ se bhī aage hai jahāñ apnā
ujāloñ kī kumak le kar
añdhere kī safoñ ko chiir jaate haiñ
ye jugnū chāñd aur taare
hamārī sūrateñ jaise
hameñ ḳhānoñ meñ mat bāñTo
havā haiñ ham
bhalā dīvār-o-dar meñ qaid kyā hoñge
sunahrī sub.h Dhaltī shaam kī rāhat hamīñ se hai
hameñ mīzān par rakhne se pahle
tolne se qabl itnā soch lenā hai
hamārā bojh terī band muTThī meñ dabī rassī
uThā.egī bhalā kaise
ki ham to shash-jihat meñ
jis taraf nazreñ uThāo
dekh lo phailī huī bikhrī huī ham ko
ki ham to zindagī haiñ
hamein KHanon mein mat banTo
ki hum to raushni Thahre
kisi dahliz par jalte hue shab bhar
kisi ka rasta takte
charaghon se bhi aage hai jahan apna
ujalon ki kumak le kar
andhere ki safon ko chir jate hain
ye jugnu chand aur tare
hamari suraten jaise
hamein KHanon mein mat banTo
hawa hain hum
bhala diwar-o-dar mein qaid kya honge
sunahri subh Dhalti sham ki rahat hamin se hai
hamein mizan par rakhne se pahle
tolne se qabl itna soch lena hai
hamara bojh teri band muTThi mein dabi rassi
uThaegi bhala kaise
ki hum to shash-jihat mein
jis taraf nazren uThao
dekh lo phaili hui bikhri hui hum ko
ki hum to zindagi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.