hamein miTTi hi rahne do
gaḌho mat chaak pe rakh ke
koī kuuza surāhī yā ghaḌā pyāla
tumhārī soch ke ye naqsh haiñ saare
tumhārī ḳhvāhishoñ ke rañg bhar dilkash
hameñ miTTī hī rahne do
hameñ kab chāhiye aisī atā
baḳhshī huī sūrat
hameñ miTTī hī rahne do
jo nam bārish se ho
zarḳhez ho fasleñ ugātī ho
zarā sī biij ko paudā banātī ho
ki vo paudā shajar ban kar
tumhārī rahguzar ko chhāñv detā hai
vahī rasta tumhārī manzileñ āsān kartā hai
hameñ miTTī hī rahne do
numā.ish ke sajāvaT ke
hameñ sāmān kyuuñ honā
numū se kyuuñ hameñ mahrūm karte ho
tumhāre paañv ke nīche zamīñ qaa.em rahe jānāñ
hameñ miTTī hī rahne do
gaDho mat chaak pe rakh ke
koi kuza surahi ya ghaDa pyala
tumhaari soch ke ye naqsh hain sare
tumhaari KHwahishon ke rang bhar dilkash
hamein miTTi hi rahne do
hamein kab chahiye aisi ata
baKHshi hui surat
hamein miTTi hi rahne do
jo nam barish se ho
zarKHez ho faslen ugati ho
zara si bij ko pauda banati ho
ki wo pauda shajar ban kar
tumhaari rahguzar ko chhanw deta hai
wahi rasta tumhaari manzilen aasan karta hai
hamein miTTi hi rahne do
numaish ke sajawaT ke
hamein saman kyun hona
numu se kyun hamein mahrum karte ho
tumhaare panw ke niche zamin qaem rahe jaanan
hamein miTTi hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.