hamein mohabbat ki ijazat nahin hai
din adhūrā thā aur
shaam kī chaa.e meñ chīnī kī jagah
udāsī ghol kar pī lī hai
ruuh pe raat utarne lagī hai
āñkheñ muntazir haiñ us ḳhvāb kī
jis ne
mujhe hijr ke mausamoñ meñ
qadam rakhne pe majbūr kiyā
kahāñ jānte ho
sab kuchh hote hue bhī
ḳhālī dāman rah jaane kā dukh
aañsū dil pe jab raqs kareñ
to phir sabr kī āyāt
hifz ho jaatī haiñ
muḳhtasar ye ki
hameñ mohabbat kī ijāzat nahīñ hai
din adhura tha aur
sham ki chae mein chini ki jagah
udasi ghol kar pi li hai
ruh pe raat utarne lagi hai
aankhen muntazir hain us KHwab ki
jis ne
mujhe hijr ke mausamon mein
qadam rakhne pe majbur kiya
kahan jaante ho
sab kuchh hote hue bhi
KHali daman rah jaane ka dukh
aansu dil pe jab raqs karen
to phir sabr ki aayat
hifz ho jati hain
muKHtasar ye ki
hamein mohabbat ki ijazat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.