hamein school jaana hai
ye mausam hai umañgoñ kā tarañgoñ kā zamāna hai
chaman ke phuul haiñ ham kaam apnā muskurānā hai
qadam jo bhī uThānā hai taraqqī kā uThānā hai
sitāroñ kī tarah ik din falak par jagmagānā hai
gale meñ Daal kar bāñheñ ḳhushī ke giit gaanā hai
hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai
mile aadhī agar roTī to ham utnī hī khā.eñge
musībat jo paḌe sar par ḳhushī se jhel jā.eñge
jo paḌhnā siikh jā.eñge to auroñ ko paḌhā.eñge
jo raste meñ bhaTakte haiñ unheñ manzil dikhā.eñge
mohabbat kā diyā har moḌ par ham ko jalānā hai
hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai
nahīñ hai ilm se baḌh kar jahāñ meñ koī bhī daulat
yahī hai nuur āñkhoñ kā diloñ kī hai yahī rāhat
ye vo shai hai lagā saktā nahīñ jis kī koī qīmat
baġhair is ke na mil pā.egī duniyā meñ koī izzat
uTho jaldī agar ta.alīm kā dariyā bahānā hai
hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai
jahālat kā añdherā aql se ma.azūr kartā hai
jo dil kī aañkh hai us ko yahī be-nūr kartā hai
banā detā hai ye shaitāñ ḳhudā se duur kartā hai
hameñ dar dar bhaTakne ke liye majbūr kartā hai
jise ta.alīm kahte haiñ ki vo hikmat kā ḳhazāna hai
hameñ schōl jaanā hai hameñ schōl jaanā hai
ye mausam hai umangon ka tarangon ka zamana hai
chaman ke phul hain hum kaam apna muskurana hai
qadam jo bhi uThana hai taraqqi ka uThana hai
sitaron ki tarah ek din falak par jagmagana hai
gale mein Dal kar banhen KHushi ke git gana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
mile aadhi agar roTi to hum utni hi khaenge
musibat jo paDe sar par KHushi se jhel jaenge
jo paDhna sikh jaenge to auron ko paDhaenge
jo raste mein bhaTakte hain unhen manzil dikhaenge
mohabbat ka diya har moD par hum ko jalana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
nahin hai ilm se baDh kar jahan mein koi bhi daulat
yahi hai nur aankhon ka dilon ki hai yahi rahat
ye wo shai hai laga sakta nahin jis ki koi qimat
baghair is ke na mil paegi duniya mein koi izzat
uTho jaldi agar talim ka dariya bahana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
jahaalat ka andhera aql se mazur karta hai
jo dil ki aankh hai us ko yahi be-nur karta hai
bana deta hai ye shaitan KHuda se dur karta hai
hamein dar dar bhaTakne ke liye majbur karta hai
jise talim kahte hain ki wo hikmat ka KHazana hai
hamein school jaana hai hamein school jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.