hanut chehre
shahr-e-dil ke ḳhāmosh galī-kūchoñ meñ
dukhoñ ke qāfile aa kar Thahre haiñ
hadd-e-nazar udāsī kī dhuup phailī hai
vafā ke Thukrā.e
sitam-parvar chehroñ kī bhiiḌ meñ
mohabbat kī dar-badarī kā faisla huā hai
nafratoñ meñ Duube kuchh chehre mil ke
ek ḳhush-rañg manzar ko
vīrāniyoñ ke dasht meñ dafn karte haiñ
safed parindoñ kī ā.ankhoñ meñ
ashkoñ kā samundar uñDel kar
unheñ tanhā.iyoñ ke zindāñ meñ qaid karte haiñ
aur sitam-gazīda lamhoñ kī baqā kī ḳhātir
sitamgarī ke na.e silsiloñ kā ahd karte haiñ
shahr-e-dil ke KHamosh gali-kuchon mein
dukhon ke qafile aa kar Thahre hain
hadd-e-nazar udasi ki dhup phaili hai
wafa ke Thukrae
sitam-parwar chehron ki bhiD mein
mohabbat ki dar-badari ka faisla hua hai
nafraton mein Dube kuchh chehre mil ke
ek KHush-rang manzar ko
viraniyon ke dasht mein dafn karte hain
safed parindon ki aaankhon mein
ashkon ka samundar unDel kar
unhen tanhaiyon ke zindan mein qaid karte hain
aur sitam-gazida lamhon ki baqa ki KHatir
sitamgari ke nae silsilon ka ahd karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.