hanuz yaad hai
zahe jamāl zahe ālam-e-shabāb tirā
nazar kī chheḌ se bajtā thā jab rabāb tirā
dam-e-vidā.a vo rangīñ udāsiyāñ terī
hanūz yaad hai vo dīda-e-pur-āb tirā
vo jhūm-jhūm ke abr-e-bahār kā aanā
vo bijliyoñ kī taḌap aur vo iztirāb tirā
vo ibtidā-e-mohabbat vo chāñdnī rāteñ
vo sehn-e-bāġh meñ hañstā huā shabāb tirā
sañbhal-sañbhal ke mirī samt vo nigāh tirī
bachā-bachā ke nazar mujh se vo ḳhitāb tirā
mirā harīm-e-tamannā thā āsmāñ se buland
us āsmāñ pe chamaktā thā āftāb tirā
abhī nazar meñ hai rāz-o-niyāz kā aalam
vo merā ijz-e-mohabbat vo pech-o-tāb tirā
kabhī sitam ke liye aur kabhī karam ke liye
nigāh-e-shauq meñ Duubā huā hijāb tirā
mirā savāl ba-qadr-e-hujūm-e-shauq-e-nihāñ
hayā kī aaḌ meñ chhuptā huā javāb tirā
hanūz yaad hai 'jauhar' ko ai nigār-e-jamīl
vo iltifāt ke parde meñ ijtināb tirā
zahe jamal zahe aalam-e-shabab tera
nazar ki chheD se bajta tha jab rabab tera
dam-e-widaa wo rangin udasiyan teri
hanuz yaad hai wo dida-e-pur-ab tera
wo jhum-jhum ke abr-e-bahaar ka aana
wo bijliyon ki taDap aur wo iztirab tera
wo ibtida-e-mohabbat wo chandni raaten
wo sehn-e-bagh mein hansta hua shabab tera
sanbhal-sanbhal ke meri samt wo nigah teri
bacha-bacha ke nazar mujh se wo KHitab tera
mera harim-e-tamanna tha aasman se buland
us aasman pe chamakta tha aaftab tera
abhi nazar mein hai raaz-o-niyaz ka aalam
wo mera ijz-e-mohabbat wo pech-o-tab tera
kabhi sitam ke liye aur kabhi karam ke liye
nigah-e-shauq mein Duba hua hijab tera
mera sawal ba-qadr-e-hujum-e-shauq-e-nihan
haya ki aaD mein chhupta hua jawab tera
hanuz yaad hai 'jauhar' ko ai nigar-e-jamil
wo iltifat ke parde mein ijtinab tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.