haq-kesh ki fariyaad
tahsīn ke tālib nahīñ ausāf-e-ḳhudā-dād
āfāq hilā detī hai haq-kesh kī fariyād
ābād kahāñ halqa-e-sherī kī fazā meñ
but-ḳhāna-e-mānī ki sanam-e-ḳhāna-e-bahzād
miT jā.egā aivān-e-tafāḳhur kā takalluf
yak shola-e-javvāla hai āh-e-dil-e-nāshād
zarġhām hai rubāh ke zarrīn qafas meñ
āzād haiñ pāband giraftār haiñ āzād
ġhāzī ne kahā luuT lo but-ḳhāna-e-daulat
suufī ne kahā chhoḌ do ishrat gah-e-shaddād
tezāb-e-siyāsat meñ ḳhudī jis kī huī ġharq
vo kāġhzī lo.bat bane kyā paikar-e-faulād
hājāt ke but-ḳhāna-e-tazvīr hazāroñ
bandoñ ne tire naam pe kar Daale haiñ ījād
luT jaatā hai har gaam pe ismat kā ḳhazāna
dilkash bahut hai maanā ki har raqs-e-parī-zād
jamhūr kī tahzīb se iḳhlās hai ma.adūm
imroz na.ī nasl ko allāh nahīñ yaad
jamhūr kī barakat se hue aadmī nañge
science ne sau fitna-e-mahshar kiye ījād
tahsin ke talib nahin ausaf-e-KHuda-dad
aafaq hila deti hai haq-kesh ki fariyaad
aabaad kahan halqa-e-sheri ki faza mein
but-KHana-e-mani ki sanam-e-KHana-e-bahzad
miT jaega aiwan-e-tafaKHur ka takalluf
yak shola-e-jawwala hai aah-e-dil-e-nashad
zargham hai rubah ke zarrin qafas mein
aazad hain paband giraftar hain aazad
ghazi ne kaha luT lo but-KHana-e-daulat
sufi ne kaha chhoD do ishrat gah-e-shaddad
tezab-e-siyasat mein KHudi jis ki hui gharq
wo kaghzi lobat bane kya paikar-e-faulad
hajat ke but-KHana-e-tazwir hazaron
bandon ne tere nam pe kar Dale hain ijad
luT jata hai har gam pe ismat ka KHazana
dilkash bahut hai mana ki har raqs-e-pari-zad
jamhur ki tahzib se iKHlas hai madum
imroz nai nasl ko allah nahin yaad
jamhur ki barakat se hue aadmi nange
science ne sau fitna-e-mahshar kiye ijad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.