haqaeq
dil hai pahlū meñ to paidā sheva-e-turkāna kar
jaur haft-aflāk ke hote raheñ parvā na kar
ġham ko ḳhud aakar bahā jā.egī mauj-e-surūr
dekhtā kyā hai uTh aur fikr-e-mai-o-paimāna kar
da.avā-e-ulfat jatā kar muft meñ rusvā na ho
daar par chaḌhne se pahle rāz-e-ishq afshā na kar
zarf-e-naisāñ chāhtī hai qulzum-āshāmī tirī
barg-e-gul kī tarah shabnam ke liye tarsā na kar
kaam ibrāhīmiyoñ kā hai ki kheleñ aag se
kuud paḌ sho.aloñ meñ ḳhauf anjām kā aslā na kar
le ke naam allāh kā tūfāñ meñ kashtī Daal de
ḳhauf-e-be-pāyānī-e-dariyā-e-mauj-afzā na kar
ḳhud amal terā hai sūrat-gar tirī taqdīr kā
shikva karnā ho to apnā kar muqaddar kā na kar
sāya-e-shamshīr meñ poshīda jannat hai magar
nā-kasoñ ke sāmne is bhed kā charchā na kar
dil hai pahlu mein to paida shewa-e-turkana kar
jaur haft-aflak ke hote rahen parwa na kar
gham ko KHud aakar baha jaegi mauj-e-surur
dekhta kya hai uTh aur fikr-e-mai-o-paimana kar
dawa-e-ulfat jata kar muft mein ruswa na ho
dar par chaDhne se pahle raaz-e-ishq afsha na kar
zarf-e-naisan chahti hai qulzum-ashami teri
barg-e-gul ki tarah shabnam ke liye tarsa na kar
kaam ibrahimiyon ka hai ki khelen aag se
kud paD shoalon mein KHauf anjam ka asla na kar
le ke nam allah ka tufan mein kashti Dal de
KHauf-e-be-payani-e-dariya-e-mauj-afza na kar
KHud amal tera hai surat-gar teri taqdir ka
shikwa karna ho to apna kar muqaddar ka na kar
saya-e-shamshir mein poshida jannat hai magar
na-kason ke samne is bhed ka charcha na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.