haqiqat
is duniyā se kabhī dil na lagānā tum
is duniyā par farefta na honā tum
ye rañgīniyāñ ye mastiyāñ sab
ālam-e-fānī hai yaad rakhnā tum
husn-e-zāhir se dhokā na khānā
ye kuuch kar jaane kā ghar hai
Thikāna nahīñ hai ye sadā kā
ġhāfil na ho rāsta muḳhtasar hai
zindagī ye imtihāñ kī Dagar hai
fanā ho jā.egī āḳhir
yahī is kī haqīqat hai
rahe āḳhirat kī fikr sadā
kuchh to ho jaa.e
sāmān-e-safar paidā
achānak kaan meñ mere
kahā ye maut ne aa kar
is duniya se kabhi dil na lagana tum
is duniya par farefta na hona tum
ye ranginiyan ye mastiyan sab
aalam-e-fani hai yaad rakhna tum
husn-e-zahir se dhoka na khana
ye kuch kar jaane ka ghar hai
Thikana nahin hai ye sada ka
ghafil na ho rasta muKHtasar hai
zindagi ye imtihan ki Dagar hai
fana ho jaegi aaKHir
yahi is ki haqiqat hai
rahe aaKHirat ki fikr sada
kuchh to ho jae
saman-e-safar paida
achanak kan mein mere
kaha ye maut ne aa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.