haqiqat mubham
ik takallum jis pe hotā hai gumān-e-ḳhāmushī
ik tarannum jis se kartī hai adāvat rāgnī
ek zarra jis meñ haiñ sahrā kī saarī vus.ateñ
ek dariyā jis se rah jaatā hai kuuza bhī tahī
ik añdherā jis se hotī haiñ farozāñ mash.aleñ
ik ujālā jis se baḌhtī hai syāhī aur bhī
ek mub.ham sī haqīqat ek rāz-e-munkashif
sochtā rahtā huuñ aksar kyā hai āḳhir zindagī
ek takallum jis pe hota hai guman-e-KHamushi
ek tarannum jis se karti hai adawat ragni
ek zarra jis mein hain sahra ki sari wusaten
ek dariya jis se rah jata hai kuza bhi tahi
ek andhera jis se hoti hain farozan mashalen
ek ujala jis se baDhti hai syahi aur bhi
ek mubham si haqiqat ek raaz-e-munkashif
sochta rahta hun aksar kya hai aaKHir zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.