haqiqat
na tū haqīqat hai aur na maiñ
aur na terī merī vafā ke qisse
na barkhā-rut kī siyāh rātoñ meñ
rāsta bhuul kar bhaTaktī huī sajal nāriyoñ ke jhurmuT
na ujḌe nagroñ meñ ḳhaak uḌāte
fasurda-dil paremiyoñ ke nauhe
agar haqīqat hai kuchh to ye ik havā kā jhoñkā
jo ibtidā se safar meñ hai
aur jo intihā tak safar karegā
na tu haqiqat hai aur na main
aur na teri meri wafa ke qisse
na barkha-rut ki siyah raaton mein
rasta bhul kar bhaTakti hui sajal nariyon ke jhurmuT
na ujDe nagron mein KHak uDate
fasurda-dil paremiyon ke nauhe
agar haqiqat hai kuchh to ye ek hawa ka jhonka
jo ibtida se safar mein hai
aur jo intiha tak safar karega
- Book : Saveera (Pg. 343)
- Author : Naziir Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.