har naqsh adhura hai
Dhalte hue sūraj kī
ab āḳhirī hichkī hai
patjhaḌ kī udāsī meñ
be-barg daraḳhtoñ kī
har ujḌī huī Tahnī
sūraj ke janāze ko
kāñdhoñ pe uThā.e hai
is vaqt mirā dil bhī
bilkul hai falak jaisā
Thahre hue ik pal meñ
Dhaltā huā sūraj hai
is vaqt mohabbat kā
har naqsh adhūrā hai
Dhalte hue suraj ki
ab aaKHiri hichki hai
patjhaD ki udasi mein
be-barg daraKHton ki
har ujDi hui Tahni
suraj ke janaze ko
kandhon pe uThae hai
is waqt mera dil bhi
bilkul hai falak jaisa
Thahre hue ek pal mein
Dhalta hua suraj hai
is waqt mohabbat ka
har naqsh adhura hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.