har raat ka KHwab
maiñ hamesha kī tarah tanhā.ī kī bāhoñ meñ bāheñ Daal kar
raat bhī sāhil pe thā mahv-e-ḳhirām
raat bhī apne hī saa.e kī nigāhoñ meñ nigāheñ Daal kar
maiñ ḳhud apne-āp se thā ham-kalām
dam-ba-dam dāman-kashāñ thā raat bhī gahre samundar kā fusūñ
khiñch rahī thiiñ raat kī niilī rageñ
raat bhī jab baḌh rahā thā tez vahshat-ḳhez maujoñ kā junūñ
merā saaya kah rahā thā aa chaleñ
nā-gahāñ TuuTā dhueñ kā ābshār
dekhte hī dekhte bijlī girī ik zor kā kauñdā huā
meñ bhañvar jaise safīne par savār
bādbāñ jis kī havā.eñ bijliyāñ mastūl tūfāñ nāḳhudā
tak rahā thā har taraf dīvāna-vār
raat bhī maiñ ḳhauf kī shiddat meñ apne saa.e se lipTā huā
raat bhī palkoñ pe raushan thā lahū
raat bhī jārī-o-sārī thā ragoñ meñ bijliyoñ kā irti.āsh
raat bhī hairāñ thī chashm-e-justujū
raat bhī dekhī hai maiñ ne apne ik ham-shakl kī maujoñ meñ laash
us kī pathrā.ī huī āñkhoñ se duur
raat bhī maiñ buz-dilī se bhaag aayā us ko tanhā chhoḌ kar
bār-e-shab se aaj bhī shāne haiñ chuur
aaj bhī uTThā huuñ jaise ruuh kā tārīk gherā toḌ kar
main hamesha ki tarah tanhai ki bahon mein bahen Dal kar
raat bhi sahil pe tha mahw-e-KHiram
raat bhi apne hi sae ki nigahon mein nigahen Dal kar
main KHud apne-ap se tha ham-kalam
dam-ba-dam daman-kashan tha raat bhi gahre samundar ka fusun
khinch rahi thin raat ki nili ragen
raat bhi jab baDh raha tha tez wahshat-KHez maujon ka junun
mera saya kah raha tha aa chalen
na-gahan TuTa dhuen ka aabshaar
dekhte hi dekhte bijli giri ek zor ka kaunda hua
mein bhanwar jaise safine par sawar
baadban jis ki hawaen bijliyan mastul tufan naKHuda
tak raha tha har taraf diwana-war
raat bhi main KHauf ki shiddat mein apne sae se lipTa hua
raat bhi palkon pe raushan tha lahu
raat bhi jari-o-sari tha ragon mein bijliyon ka irtiash
raat bhi hairan thi chashm-e-justuju
raat bhi dekhi hai main ne apne ek ham-shakl ki maujon mein lash
us ki pathrai hui aankhon se dur
raat bhi main buz-dili se bhag aaya us ko tanha chhoD kar
bar-e-shab se aaj bhi shane hain chur
aaj bhi uTTha hun jaise ruh ka tarik ghera toD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.