har sal in subhon
har saal in sub.hoñ ke safar meñ ik din aisā bhī aatā hai
jab pal bhar ko zarā sarak jaate haiñ merī khiḌkī ke aage se ghūmte ghūmte
saat karoḌ kurre aur sūraj ke piile phūloñ vaalī phulvāḌī se ik pattī uḌ kar
mere mez par aa girtī hai
in jumbā jahtoñ meñ sākin
tab itne meñ saat karoḌ kurre phir pātāloñ se ubhar kar aur khiḌkī ke sāmne aa kar
dhuup kī is chaukor sī TukḌī ko gahnā dete haiñ
aane vaale baras tak
is kamre tak vāpas aane meñ mujh ko ik din us ko ek baras lagtā hai
aaj bhī ik aisā hī din hai
abhī abhī ik aaḌī tirchhī raushan sīḌhī sad-hā zāviyoñ kī pal bhar ko jhuk aa.ī thī
us khiḌkī tak
ek laraztī huī maujūdgī is sīḌhī se abhī abhī is kamre meñ utrī thī
baras baras hone ke partav kī ye ek parat is mez par dam bhar yuuñ Dhaltī hai
jaane bāhar is honī ke hast meñ kyā kyā kuchh hai
aaj ye apne paañv to pātāloñ meñ gaḌe hue haiñ
har sal in subhon ke safar mein ek din aisa bhi aata hai
jab pal bhar ko zara sarak jate hain meri khiDki ke aage se ghumte ghumte
sat karoD kurre aur suraj ke pile phulon wali phulwaDi se ek patti uD kar
mere mez par aa girti hai
in jumba jahton mein sakin
tab itne mein sat karoD kurre phir patalon se ubhar kar aur khiDki ke samne aa kar
dhup ki is chaukor si TukDi ko gahna dete hain
aane wale baras tak
is kamre tak wapas aane mein mujh ko ek din us ko ek baras lagta hai
aaj bhi ek aisa hi din hai
abhi abhi ek aaDi tirchhi raushan siDhi sad-ha zawiyon ki pal bhar ko jhuk aai thi
us khiDki tak
ek larazti hui maujudgi is siDhi se abhi abhi is kamre mein utri thi
baras baras hone ke partaw ki ye ek parat is mez par dam bhar yun Dhalti hai
jaane bahar is honi ke hast mein kya kya kuchh hai
aaj ye apne panw to patalon mein gaDe hue hain
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 572)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.