haram mein
sarāb-e-jāñ ko jahāñ kī chamak samajhte rahe
rahā vo ruuh meñ ham jism tak samajhte rahe
patā chalā ki vo ḳhāk-e-haram kī ḳhushbū thī
ki jis ko sajde meñ gul kī mahak samajhte rahe
ajab thī kaifiyyat-e-jāñ tavāf ke daurāñ
ham apne aap ko rashk-e-malak samajhte rahe
ḳhudā ko DhūñDne kā kab hameñ ḳhayāl aayā
ham apnī zaat ko us kī jhalak samajhte rahe
hasīn vaqt guzārā ḳhudā ke ghar meñ 'adīl'
zamīñ thī zer-e-qadam ham falak samajhte rahe
sarab-e-jaan ko jahan ki chamak samajhte rahe
raha wo ruh mein hum jism tak samajhte rahe
pata chala ki wo KHak-e-haram ki KHushbu thi
ki jis ko sajde mein gul ki mahak samajhte rahe
ajab thi kaifiyyat-e-jaan tawaf ke dauran
hum apne aap ko rashk-e-malak samajhte rahe
KHuda ko DhunDne ka kab hamein KHayal aaya
hum apni zat ko us ki jhalak samajhte rahe
hasin waqt guzara KHuda ke ghar mein 'adil'
zamin thi zer-e-qadam hum falak samajhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.