harf-e-muqaddar
jamhūriyat jamhūriyat jamhūriyat
ek vahshat-nāk haqīqat
jahāñ āzādī ho ḳhuun chūsne kī
jahāñ baḌī bebākī se ek jhuuT dūsre jhuuT se muqābla kar sake
jahāñ badī badī ke muqābil ho
jahāñ yazīd ke sāmne koī husain na ho
jahāñ yazīd ke sāmne koī husain na ho
jahāñ kaleja chabāne kī puurī āzādī ho
jahāñ azāb-e-ilāhī ko bhī jamhūriyat tasavvur kiyā jaatā ho
ham aisī tabāh-shuda bastī ke baasī haiñ
jamhuriyat jamhuriyat jamhuriyat
ek wahshat-nak haqiqat
jahan aazadi ho KHun chusne ki
jahan baDi bebaki se ek jhuT dusre jhuT se muqabla kar sake
jahan badi badi ke muqabil ho
jahan yazid ke samne koi husain na ho
jahan yazid ke samne koi husain na ho
jahan kaleja chabane ki puri aazadi ho
jahan azab-e-ilahi ko bhi jamhuriyat tasawwur kiya jata ho
hum aisi tabah-shuda basti ke basi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.