harf-e-na-rasa
khulī kitāb ke hurūf
sharmgīñ nigāh se
dekhte haiñ yuuñ mujhe
ki jaise ye na.e paḌosī jaane kab se
merī uljhanoñ ke rāzdār haiñ
har ek lafz dard ban ke ḳhalvatoñ meñ gūñjtā hai raat bhar
ye ḳhat bhī ajnabī nahīñ
ye harf bhī nahīñ
ki un kī har nigah meñ har adā meñ
bolte badan kī har sadā meñ
mere ang ang ke liye karb kī pukār hai
samā.atoñ basāratoñ kī bebasī ke bāvajūd
un kī dukh bharī fuġhāñ bhī sun rahā huuñ
un ke zaḳhm dekhtā huuñ
lekin aah
kis qadar aziim hai ye alamiya
ki maiñ unheñ paḌhūñ to nā-rasā.ī kā ġhubār
āñkhoñ meñ utaar deñ
tamām sa.i-e-qurb
dūriyoñ kī zad pe vaar deñ
junūn-e-sho.ala-numū ko zahr-e-intizār deñ
khuli kitab ke huruf
sharmgin nigah se
dekhte hain yun mujhe
ki jaise ye nae paDosi jaane kab se
meri uljhanon ke raazdar hain
har ek lafz dard ban ke KHalwaton mein gunjta hai raat bhar
ye KHat bhi ajnabi nahin
ye harf bhi nahin
ki un ki har nigah mein har ada mein
bolte badan ki har sada mein
mere ang ang ke liye karb ki pukar hai
samaaton basaraton ki bebasi ke bawajud
un ki dukh bhari fughan bhi sun raha hun
un ke zaKHm dekhta hun
lekin aah
kis qadar azim hai ye alamiya
ki main unhen paDhun to na-rasai ka ghubar
aankhon mein utar den
tamam sai-e-qurb
duriyon ki zad pe war den
junun-e-shoala-numu ko zahr-e-intizar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.