harf sada-o-rangin
Interesting Fact
(Naqsh, Karachi, January-February 1973)
ik kalī gulāb kī
kūcha-e-chaman meñ hai
yaad ek ḳhvāb kī
shaam ke gagan meñ hai
ism sabz baab kā
pur-fareb ban meñ hai
naqsh ik shabāb kā
sāya-e-kuhan meñ hai
ik pukārtī sadā
jabr ke gahan meñ hai
duur duur tak havā
koh aur daman meñ hai
ek kali gulab ki
kucha-e-chaman mein hai
yaad ek KHwab ki
sham ke gagan mein hai
ism sabz bab ka
pur-fareb ban mein hai
naqsh ek shabab ka
saya-e-kuhan mein hai
ek pukarti sada
jabr ke gahan mein hai
dur dur tak hawa
koh aur daman mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.