hasan ka sang-e-mazar
taklīf thī tujhe magar ārām ho gayā
le merī jaañ tamām tirā kaam ho gayā
aaya thā chand din ke liye tū jahān meñ
aane kā chand din ke liye naam ho gayā
āḳhir to qaid-e-zīst se chhuTnā thā ek roz
achchhā huā ki aaj hī ye kaam ho gayā
dafnā ke tujh ko ai mire nanhe 'hasan-jalīl'
ḳhush huuñ ki jaise koī baḌā kaam ho gayā
taklif thi tujhe magar aaram ho gaya
le meri jaan tamam tera kaam ho gaya
aaya tha chand din ke liye tu jahan mein
aane ka chand din ke liye nam ho gaya
aaKHir to qaid-e-zist se chhuTna tha ek roz
achchha hua ki aaj hi ye kaam ho gaya
dafna ke tujh ko ai mere nanhe 'hasan-jalil'
KHush hun ki jaise koi baDa kaam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.