hasb-e-farmaish
maiñ tujhe phuul kahūñ aur kahūñ bhañvaroñ se
aao us phuul kā ras chuus ke nācho-jhūmo
maiñ tujhe sham.a kahūñ aur kahūñ parvāno
aao us sham.a ke hoñToñ ko ḳhushī se chūmo
maiñ tirī aañkh ko tashbīh duuñ maiḳhāne se
aur ḳhud zahr-e-judā.ī kā talabgār rahūñ
ġhair so.e tirī zulfoñ kī ghanī chhāñv meñ
aur maiñ chāñdnī rātoñ maiñ faqat sher kahūñ
mujh se ye tere qasīde na likhe jā.eñge
mujh se tere liye ye ġhazleñ na kahī jā.eñgī
yaad meñ terī maiñ sulgā na sakūñgā āñkheñ
saḳhtiyāñ dard kī mujh se na sahī jā.eñgī
shahr meñ aise musavvir haiñ jo sikkoñ ke evaz
husn meñ lailā-o-azrā se baḌhā deñge tujhe
tuul de kar tirī zulfoñ ko shab-e-ġham kī tarah
fan ke e.ajāz se nāgin sī banā deñge tujhe
tujh ko shahr kī zarūrat hai mohabbat kī mujhe
ai hasīna tirī manzil mirī manzil meñ nahīñ
naach ghar terī nigāhoñ meñ haiñ raqsāñ lekin
is ta.ayyush kī tamannā.eñ mire dil meñ nahīñ
dekh ke ġhair ke pahlū meñ tujhe raqs-kunāñ
bhiig jaatī hai mirī aañkh sarishk-e-ġham se
mujh ko barsoñ kī ġhulāmī kā ḳhayāl aatā hai
jis ne andāz-e-vafā chhīn liyā hai ham se
mujh ko bhañvrā na samajh mujh ko patañgā na samajh
mujh ko insān samajh merī sadāqat se na khel
terī tafrīh kā sāmāñ na banūñgā hargiz
merī duniyā hai yahī merī mohabbat se na khel
main tujhe phul kahun aur kahun bhanwaron se
aao us phul ka ras chus ke nacho-jhumo
main tujhe shama kahun aur kahun parwano
aao us shama ke honTon ko KHushi se chumo
main teri aankh ko tashbih dun maiKHane se
aur KHud zahr-e-judai ka talabgar rahun
ghair soe teri zulfon ki ghani chhanw mein
aur main chandni raaton main faqat sher kahun
mujh se ye tere qaside na likhe jaenge
mujh se tere liye ye ghazlen na kahi jaengi
yaad mein teri main sulga na sakunga aankhen
saKHtiyan dard ki mujh se na sahi jaengi
shahr mein aise musawwir hain jo sikkon ke ewaz
husn mein laila-o-azra se baDha denge tujhe
tul de kar teri zulfon ko shab-e-gham ki tarah
fan ke eajaz se nagin si bana denge tujhe
tujh ko shahr ki zarurat hai mohabbat ki mujhe
ai hasina teri manzil meri manzil mein nahin
nach ghar teri nigahon mein hain raqsan lekin
is tayyush ki tamannaen mere dil mein nahin
dekh ke ghair ke pahlu mein tujhe raqs-kunan
bhig jati hai meri aankh sarishk-e-gham se
mujh ko barson ki ghulami ka KHayal aata hai
jis ne andaz-e-wafa chhin liya hai hum se
mujh ko bhanwra na samajh mujh ko patanga na samajh
mujh ko insan samajh meri sadaqat se na khel
teri tafrih ka saman na banunga hargiz
meri duniya hai yahi meri mohabbat se na khel
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 212)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.