hasin-tar
kal ek tū hogī aur ik maiñ
koī raqīb-e-rafīq-sūrat
koī rafīq-e-raqīb-sāmāñ
mire tire darmiyāñ na hogā
hamārī umr-e-ravāñ kī shabnam
tirī siyah kākuloñ kī rātoñ
meñ taar chāñdī ke gūñdh degī
tire hasīñ ārizoñ ke rañgīñ
gulāb bele ke phuul hoñge
shafaq kā har rañg ġharq hogā
latīf o pur-kaif chāñdnī meñ
tirī kitāb-e-ruḳh-e-javāñ par
ki jo ġhazal kī kitāb hai ab
zamāna likkhegā ik kahānī
aur an-ginat jhurriyoñ ke andar
mirī mohabbat ke saare bose
hazār lab ban ke hañs paḌeñge
ham apnī biitī huī shaboñ kī
salonī parchhā.iyoñ ko le kar
ham apne ahd-e-tarab kī shaam o
sahar kī rānā.iyoñ ko le kar
purānī yādoñ ke jism-e-uryāñ
ke vāste pairahan buneñge
phir ek tū hogī aur ik maiñ
koī raqīb-e-rafīq-sūrat
ko rafīq-e-raqīb-sāmāñ
mire tire darmiyāñ na hogā
havas kī nazroñ ko tere ruḳh par
jamāl-e-nau kā gumāñ na hogā
faqat mirī husn-e-āzmūda
nazar ye tujh ko batā sakegī
ki terī piirī kā husn tere
shabāb se bhī hasīn-tar hai
kal ek tu hogi aur ek main
koi raqib-e-rafiq-surat
koi rafiq-e-raqib-saman
mere tere darmiyan na hoga
hamari umr-e-rawan ki shabnam
teri siyah kakulon ki raaton
mein tar chandi ke gundh degi
tere hasin aarizon ke rangin
gulab bele ke phul honge
shafaq ka har rang gharq hoga
latif o pur-kaif chandni mein
teri kitab-e-ruKH-e-jawan par
ki jo ghazal ki kitab hai ab
zamana likkhega ek kahani
aur an-ginat jhurriyon ke andar
meri mohabbat ke sare bose
hazar lab ban ke hans paDenge
hum apni biti hui shabon ki
saloni parchhaiyon ko le kar
hum apne ahd-e-tarab ki sham o
sahar ki ranaiyon ko le kar
purani yaadon ke jism-e-uryan
ke waste pairahan bunenge
phir ek tu hogi aur ek main
koi raqib-e-rafiq-surat
ko rafiq-e-raqib-saman
mere tere darmiyan na hoga
hawas ki nazron ko tere ruKH par
jamal-e-nau ka guman na hoga
faqat meri husn-e-azmuda
nazar ye tujh ko bata sakegi
ki teri piri ka husn tere
shabab se bhi hasin-tar hai
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.