hasina-e-KHayal se
mujhe de de
rasīle hoñT ma.asūmāna peshānī hasīñ āñkheñ
ki maiñ ik baar phir rañgīniyoñ meñ ġharq ho jā.ūñ!
mirī hastī ko terī ik nazar āġhosh meñ le le
hamesha ke liye is daam meñ mahfūz ho jā.ūñ
ziyā-e-husn se zulmāt-e-duniyā meñ na phir aa.uuñ
guzishta hasratoñ ke daaġh mere dil se dhul jaa.eñ
maiñ aane vaale ġham kī fikr se āzād ho jā.ūñ
mire maazī o mustaqbil sarāsar mahv ho jaa.eñ
mujhe vo ik nazar ik jāvedānī sī nazar de de
mujhe de de
rasile honT masumana peshani hasin aankhen
ki main ek bar phir ranginiyon mein gharq ho jaun!
meri hasti ko teri ek nazar aaghosh mein le le
hamesha ke liye is dam mein mahfuz ho jaun
ziya-e-husn se zulmat-e-duniya mein na phir aaun
guzishta hasraton ke dagh mere dil se dhul jaen
main aane wale gham ki fikr se aazad ho jaun
mere mazi o mustaqbil sarasar mahw ho jaen
mujhe wo ek nazar ek jawedani si nazar de de
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 30)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.