hasrat
kabhī mile to maiñ pūchhūñ us se
kyā milā hai kinārā kar ke
vafā kī qīmat vasūl huī
yā
bichhaḌ ke mujh se tum ḳhush rahoge
vo ik duā thī qubūl huī
tumhāre chehre se lag rahā hai
ki aisā hargiz nahīñ huā hai
tumhāre ḳhvāboñ kī kitnī lāsheñ
tumhārī āñkhoñ se gir rahī haiñ
tumhāre hoñToñ pe raqs kartī
vo muskurāhaT bhī mar ga.ī hai
kahā thā kis ne
kahā thā kis ne
ki mere hāthoñ kī in lakīroñ se
naam apnā churā ke bhāgo
jo merī āñkhoñ meñ naqsh kab kā
vo aks apnā uThā ke niklo
koī milā phir
koī milā phir
jo tumheñ vafā kī jazā.eñ detā
tum ḳhush rahoge duā.eñ detā
tumhāre pīchhe sadā.eñ detā
nahīñ milā nā
to āḳhir vahī huā nā
jo naam apnā churā ga.e the
vo bhī āḳhir gañvā diyā nā
jo aks āñkhoñ se le ga.e the
vo hasratoñ meñ chhupā diyā nā
jo dil meñ mere maqām terā thā
vo bhī āḳhir girā diyā nā
kabhī mile to maiñ pūchhūñ us se
kyā milā ye kinārā kar ke
kabhi mile to main puchhun us se
kya mila hai kinara kar ke
wafa ki qimat wasul hui
ya
bichhaD ke mujh se tum KHush rahoge
wo ek dua thi qubul hui
tumhaare chehre se lag raha hai
ki aisa hargiz nahin hua hai
tumhaare KHwabon ki kitni lashen
tumhaari aankhon se gir rahi hain
tumhaare honTon pe raqs karti
wo muskurahaT bhi mar gai hai
kaha tha kis ne
kaha tha kis ne
ki mere hathon ki in lakiron se
nam apna chura ke bhago
jo meri aankhon mein naqsh kab ka
wo aks apna uTha ke niklo
koi mila phir
koi mila phir
jo tumhein wafa ki jazaen deta
tum KHush rahoge duaen deta
tumhaare pichhe sadaen deta
nahin mila na
to aaKHir wahi hua na
jo nam apna chura gae the
wo bhi aaKHir ganwa diya na
jo aks aankhon se le gae the
wo hasraton mein chhupa diya na
jo dil mein mere maqam tera tha
wo bhi aaKHir gira diya na
kabhi mile to main puchhun us se
kya mila ye kinara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.