hasrat
ḳhālī gilās ke muqaddar meñ
hoñToñ kā lams hāthoñ kī narmī kahāñ
shabnam rotī hai use fanā kā ġham hai
lams kī qīmat kā ehsās nahīñ hai us ko
phūloñ kī āġhosh meñ maut bhī
hasīn ho jaatī hai zindagī kī tarah
ḳhush-qismat haiñ vo lifāfe
jin par sabt hotī hai muhr
hasīn laboñ kī
mujhe bhī koī chhū le
mujhe bhī koī pī le
maiñ phir TūT-phūT jā.ūñgā
ḳhālī gilās ke muqaddar meñ magar
hoñToñ kā lams hāthoñ kī narmī kahāñ
KHali gilas ke muqaddar mein
honTon ka lams hathon ki narmi kahan
shabnam roti hai use fana ka gham hai
lams ki qimat ka ehsas nahin hai us ko
phulon ki aaghosh mein maut bhi
hasin ho jati hai zindagi ki tarah
KHush-qismat hain wo lifafe
jin par sabt hoti hai muhr
hasin labon ki
mujhe bhi koi chhu le
mujhe bhi koi pi le
main phir TuT-phuT jaunga
KHali gilas ke muqaddar mein magar
honTon ka lams hathon ki narmi kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.