Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasraten

Khadija Khan

hasraten

Khadija Khan

MORE BYKhadija Khan

    qalam bhī taḌap uThā

    qirtās pe

    likhne se pahle

    lahūluhān harf

    ho ga.e barf

    uf sard ehsās

    ummīdoñ ko

    maar na Daale kahīñ

    ghāyal paroñ ke saath

    ye hasrateñ

    uḌne se

    baaz nahīñ ātīñ

    aur āḳhir-kār

    laḌkhaḌātī parvāz

    jabīn-e-falak

    chuum letī hai

    qalam bhi taDap uTha

    qirtas pe

    likhne se pahle

    lahuluhan harf

    ho gae barf

    uf sard ehsas

    ummidon ko

    mar na Dale kahin

    ghayal paron ke sath

    ye hasraten

    uDne se

    baz nahin aatin

    aur aaKHir-kar

    laDkhaDati parwaz

    jabin-e-falak

    chum leti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now