hasti
merī hastī kī haqīqat kyā hai
ek sho'la hai havā kī zad par
jo bhaḌaktā bhī hai
jo sard bhī ho jaatā hai
yā safīna hai koī
vaqt kī lahroñ pe ravāñ
aaj tak hasti-e-mauhūm kā 'irfāñ na huā
ḳhud-shanāsī-o-ḳhud-āgāhī kyā
nafs-e-nākāra taqāze tere
ḳhud-farebī ke sivā kuchh bhī nahīñ
kaun samjhā.egā hastī kī haqīqat mujh ko
hai koī
koī bhī hai
meri hasti ki haqiqat kya hai
ek sho'la hai hawa ki zad par
jo bhaDakta bhi hai
jo sard bhi ho jata hai
ya safina hai koi
waqt ki lahron pe rawan
aaj tak hasti-e-mauhum ka 'irfan na hua
KHud-shanasi-o-KHud-agahi kya
nafs-e-nakara taqaze tere
KHud-farebi ke siwa kuchh bhi nahin
kaun samjhaega hasti ki haqiqat mujh ko
hai koi
koi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.