hawa aur suraj ka muqabla
ik musāfir apnī dhun meñ thā ravāñ
us ko in donoñ ne taakā nā-gahāñ
ho ga.e aapas meñ tai qaul-o-qarār
jo labāda le musāfir kā utaar
bas usī ke naam kā Dañkā baje
sar pe dastār-e-fazīlat vo saje
phir to āñdhī ban ke chal niklī havā
aisī biphrī kar diyā tūfāñ bapā
ūñche ūñche peḌ tharrāne lage
jhok se jhokoñ kī charrāne lage
naunihāloñ kī kamar bal khā ga.ī
phuul pattoñ par qayāmat aa ga.ī
kaañp uThe us dasht ke kul vahsh o tair
māñgte the apne apne dam kī ḳhair
ho gayā dāmān-e-sahrā gard-bard
ghir gayā aafat meñ vo sahrā-navard
chāhtī thī luuñ libāde ko uchak
mudda.ī ko duuñ sar-e-maidān zak
jab havā letī thī chakkar meñ lapeT
baiTh jaatā thā vo dāman ko sameT
sīna-zori se na chorī se Darī
kar sakī lekin na kuchh ġhārat-garī
bāñdh lī kas kar musāfir ne kamar
tā havā kā ho na kapḌoñ meñ guzar
thak ga.ī āḳhir na us kā bas chalā
Tal ga.ī sar se musāfir ke balā
ab thamā jhakkaḌ to niklā āftāb
rū-e-nūrānī se sarkā.ī naqāb
tamkanat chehre se us ke āshkār
chaal meñ ik burd-bārī aur vaqār
vo havā kī sī na thī yaañ dhūm-dhām
kar rahā thā chupke chupke apnā kaam
dhīmī dhīmī kirneñ chamkāne lagā
rafta rafta sab ko garmāne lagā
us musāfir ko pasīna aa gayā
khol Daale band jī ghabrā gayā
aur aage ko baḌhā to dhuup se
tan-badan meñ kuchh patañge se lage
ab libāde ko liyā kāñdhe pe Daal
badlī yuuñ naubat ba naubat chāl-Dhāl
jab chaḌhā ḳhurshīd samt-u-rrās par
baiTh kar saa.e meñ phir to ghaas par
duur pheñkā us libāde ko utaar
vāh-re sūraj liyā maidān maar
tezī-o-tundī ke girvīda haiñ sab
kāmyābī kā magar hai aur Dhab
us kā gur hai narmī o āhistagī
sar-kashī kī rag usī se hai dabī
ek musafir apni dhun mein tha rawan
us ko in donon ne taka na-gahan
ho gae aapas mein tai qaul-o-qarar
jo labaada le musafir ka utar
bas usi ke nam ka Danka baje
sar pe dastar-e-fazilat wo saje
phir to aandhi ban ke chal nikli hawa
aisi biphri kar diya tufan bapa
unche unche peD tharrane lage
jhok se jhokon ki charrane lage
naunihaalon ki kamar bal kha gai
phul patton par qayamat aa gai
kanp uThe us dasht ke kul wahsh o tair
mangte the apne apne dam ki KHair
ho gaya daman-e-sahra gard-bard
ghir gaya aafat mein wo sahra-naward
chahti thi lun libaade ko uchak
muddai ko dun sar-e-maidan zak
jab hawa leti thi chakkar mein lapeT
baiTh jata tha wo daman ko sameT
sina-zori se na chori se Dari
kar saki lekin na kuchh ghaarat-gari
bandh li kas kar musafir ne kamar
ta hawa ka ho na kapDon mein guzar
thak gai aaKHir na us ka bas chala
Tal gai sar se musafir ke bala
ab thama jhakkaD to nikla aaftab
ru-e-nurani se sarkai naqab
tamkanat chehre se us ke aashkar
chaal mein ek burd-bari aur waqar
wo hawa ki si na thi yan dhum-dham
kar raha tha chupke chupke apna kaam
dhimi dhimi kirnen chamkane laga
rafta rafta sab ko garmane laga
us musafir ko pasina aa gaya
khol Dale band ji ghabra gaya
aur aage ko baDha to dhup se
tan-badan mein kuchh patange se lage
ab libaade ko liya kandhe pe Dal
badli yun naubat ba naubat chaal-Dhaal
jab chaDha KHurshid samt-u-rras par
baiTh kar sae mein phir to ghas par
dur phenka us libaade ko utar
wah-re suraj liya maidan mar
tezi-o-tundi ke girwida hain sab
kaamyabi ka magar hai aur Dhab
us ka gur hai narmi o aahistagi
sar-kashi ki rag usi se hai dabi
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.