hawa chali
hone ko aa.ī sub.h to ThanDī havā chalī
kyā dhīmī dhīmī chaal se ye ḳhush-adā chalī
lahrā diyā hai khet ko hiltī haiñ bāliyāñ
paude bhī jhūmte haiñ lachaktī haiñ Dāliyāñ
phulvāriyoñ meñ taaza shagūfe khilā chalī
soyā huā thā sabza use to jagā chalī
sarsabz hoñ daraḳht na bāġhoñ meñ tujh baġhair
tere hī dam-qadam se hai bhātī chaman kī sair
paḌ jaa.e is jahān meñ terī agar kamī
chaupāya koī zinda bache aur na aadmī
chiḌiyoñ ko ye uḌaan kī tāqat kahāñ rahe
phir kaa.eñ kaa.eñ ho na ġhuTarġhūñ na chahchahe
bandoñ ko chāhiye ki kareñ bandagī adā
us kī ki jis ke hukm se chaltī hai ye sadā
hone ko aai subh to ThanDi hawa chali
kya dhimi dhimi chaal se ye KHush-ada chali
lahra diya hai khet ko hilti hain baaliyan
paude bhi jhumte hain lachakti hain Daliyan
phulwariyon mein taza shagufe khila chali
soya hua tha sabza use to jaga chali
sarsabz hon daraKHt na baghon mein tujh baghair
tere hi dam-qadam se hai bhati chaman ki sair
paD jae is jahan mein teri agar kami
chaupaya koi zinda bache aur na aadmi
chiDiyon ko ye uDan ki taqat kahan rahe
phir kaen kaen ho na ghuTarghun na chahchahe
bandon ko chahiye ki karen bandagi ada
us ki ki jis ke hukm se chalti hai ye sada
- Book : Urdu Zabaan ki tisari kitab (Pg. 52)
- Author : Khansahab Molvi Mohd. Ismail
- Publication : Farid Book Depo(Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.