hawa
duur kahīñ patthar kī lailā
barf kī phulkārī pe hañsī
duur kisī Daaku ne ḳhanjar
apne badan meñ toḌ liyā
duur patange apnī patangeñ
le kar bhāge galiyoñ meñ
man-mandir meñ
pyaas kisī kī
aahaT sun kar jaag uThī
nīlam sī ik ḳhvāhish ne
phir hāthoñ par
kuchh naam likhe
dur kahin patthar ki laila
barf ki phulkari pe hansi
dur kisi Daku ne KHanjar
apne badan mein toD liya
dur patange apni patangen
le kar bhage galiyon mein
man-mandir mein
pyas kisi ki
aahaT sun kar jag uThi
nilam si ek KHwahish ne
phir hathon par
kuchh nam likhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.