hawa
havā ke ye naqsh
niile sāgar kī uThtī maujeñ
lahakte peḌoñ kī narm shāḳheñ
guloñ ke khilte mahakte lab
kohsār kī choTiyoñ pe ye barf ke diye
ābshār kā naġhma-e-dil-nashīñ
āsmāñ ke dāman meñ bādaloñ ke ravāñ-davāñ narm narm gaale
vo kuuk koyal kī
vo papīhe kī pī
ye sab naqsh haiñ havā ke
ye jism bhī naqsh hai havā kā
magar kahāñ hai havā
jo phir mujh ko naqsh se naqsh-gar banā de
hawa ke ye naqsh
nile sagar ki uThti maujen
lahakte peDon ki narm shaKHen
gulon ke khilte mahakte lab
kohsar ki choTiyon pe ye barf ke diye
aabshaar ka naghma-e-dil-nashin
aasman ke daman mein baadalon ke rawan-dawan narm narm gale
wo kuk koyal ki
wo papihe ki pi
ye sab naqsh hain hawa ke
ye jism bhi naqsh hai hawa ka
magar kahan hai hawa
jo phir mujh ko naqsh se naqsh-gar bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.