hawa jam-e-sehat tajwiz karti hai
mujhe mālūm thā
ye din bhī dukh kī kokh se phūTā hai
merī mātamī chādar
nahīñ tabdīl hogī aaj ke din bhī
jo raakh uḌtī thī ḳhvāboñ kī badan meñ
yūñhī āshufta rahegī
aur udāsī kī yahī sūrat rahegī
maiñ apne sog meñ mātam-kunāñ
yuuñ sar-ba-zānū raat tak baiThī rahūñgī
aur mire ḳhvāboñ kā pursa aaj bhī koī nahīñ degā
magar ye kaun hai
jo yuuñ mujhe bāhar bulātā hai
baḌī narmī se kahtā hai
ki apne hujra-e-ġham se nikal kar baaġh meñ aao
zarā bāhar to dekho
duur tak sabza bichhā hai
aur harī shāḳhoñ pe nāranjī shagūfe muskurāte haiñ
mulā.em sabz pattoñ par paḌī shabnam
sunahrī dhuup meñ hiire kī sūrat jagmagātī hai
daraḳhtoñ meñ chhupī naddī
bahut dhīme suroñ meñ gungunātī hai
chamakte zard phūloñ se ladī nannhī pahāḌī ke aqab meñ
nuqra.ī chashma ḳhushī se khilkhilātā hai
parind-e-ḳhush-gulū
shāḳh-e-shagufta par chahaktā hai
ghane jañgal meñ bārish kā ġhubār-e-sabz
sat.h-e-shīsha-e-dil par
mulā.em uñgliyoñ se marhabā ke lafz likhtā hai
koī aatā hai
aa kar chādar-e-ġham ko baḌī āhistagī se
mere shānoñ se haTā kar
saat rangoñ kā dupaTTa khol kar mujh ko uḌātā hai
maiñ khul kar saañs letī huuñ
mire andar
koī pairoñ meñ ghuñghrū bāñdhtā hai
raqs kā āġhāz kartā hai
mire kānoñ ke āvezoñ ko ye kis ne chhuā
jis se laveñ phir se gulābī ho ga.ī haiñ
koī sargoshiyoñ meñ phir se merā naam letā hai
fazā kī naġhmagī āvāz detī hai
havā jām-e-sehat tajvīz kartī hai
mujhe malum tha
ye din bhi dukh ki kokh se phuTa hai
meri matami chadar
nahin tabdil hogi aaj ke din bhi
jo rakh uDti thi KHwabon ki badan mein
yunhi aashufta rahegi
aur udasi ki yahi surat rahegi
main apne sog mein matam-kunan
yun sar-ba-zanu raat tak baiThi rahungi
aur mere KHwabon ka pursa aaj bhi koi nahin dega
magar ye kaun hai
jo yun mujhe bahar bulata hai
baDi narmi se kahta hai
ki apne hujra-e-gham se nikal kar bagh mein aao
zara bahar to dekho
dur tak sabza bichha hai
aur hari shaKHon pe naranji shagufe muskuraate hain
mulaem sabz patton par paDi shabnam
sunahri dhup mein hire ki surat jagmagati hai
daraKHton mein chhupi naddi
bahut dhime suron mein gungunati hai
chamakte zard phulon se ladi nannhi pahaDi ke aqab mein
nuqrai chashma KHushi se khilkhilata hai
parind-e-KHush-gulu
shaKH-e-shagufta par chahakta hai
ghane jangal mein barish ka ghubar-e-sabz
sath-e-shisha-e-dil par
mulaem ungliyon se marhaba ke lafz likhta hai
koi aata hai
aa kar chadar-e-gham ko baDi aahistagi se
mere shanon se haTa kar
sat rangon ka dupaTTa khol kar mujh ko uData hai
main khul kar sans leti hun
mere andar
koi pairon mein ghunghru bandhta hai
raqs ka aaghaz karta hai
mere kanon ke aawezon ko ye kis ne chhua
jis se lawen phir se gulabi ho gai hain
koi sargoshiyon mein phir se mera nam leta hai
faza ki naghmagi aawaz deti hai
hawa jam-e-sehat tajwiz karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.