hawa ka nauha
apnī aur 'qayyūm-rāhī' kī maañ kī maut par
sitāre chup haiñ kisī beva maañg kī mānind
bujhā bujhā hai sar-e-shām chāñd kā jhūmar
damaktī rāhoñ ke dhuñdlā ga.e haiñ ā.īne
utar chukā hai ḳhalāoñ meñ raushnī kā nagar
muhīb-o-sarv-o-siyah haath baḌhte jaate haiñ
khiñche hue haiñ fazāoñ meñ ātishīñ ḳhanjar
farishte rote haiñ apne paroñ ko phailā.e
ḳhizāñ ke nāchte pattoñ kī mātamī lai par
havā.eñ detī haiñ dastak mire darīchoñ par
mujhe ye Dar hai na bujh jaa.e terī sham-e-hayāt
chal ab ki chal ke muqaffal kareñ ye darvāze
tujhe na chhīn leñ mujh se mire raqīb auqāt
na jaane kyā mire allāh hone vaalā hai
muhīb saaya añdhere meñ thartharātā hai
baḌhā ke haath ye darvāza kis ne khol diyā
ye terī samt dabe paañv kaun aatā hai
ye kis ne bāñhoñ meñ ghabrā ke bhar liyā tujh ko
ki jaise dev ho shahzāde ke fasānoñ kā
fazā pe phūñk gayā paḌh ke maut kā afsūñ
har ek shai hai yahāñ terī tarah marg-āsā
phir is tarah se tirā paikar-e-nahīf uḌā
ki jaise gard koī āñdhiyoñ ke saath chale
bhaTaktī rah ga.ī añdhiyāroñ meñ mirī āvāz
charāġh-e-qabr kī mānind maiñ ne haath male
har ek shahr meñ tanhā galī galī tanhā
maiñ phir rahā huuñ tire ġham kī laash uThā.e hue
ḳhizāñ ke vaqt koī jaise barg-e-āvāra
ravish ravish pe ḳhud apne hī madfanoñ ko gine
apni aur 'qayyum-rahi' ki man ki maut par
sitare chup hain kisi bewa mang ki manind
bujha bujha hai sar-e-sham chand ka jhumar
damakti rahon ke dhundla gae hain aaine
utar chuka hai KHalaon mein raushni ka nagar
muhib-o-sarw-o-siyah hath baDhte jate hain
khinche hue hain fazaon mein aatishin KHanjar
farishte rote hain apne paron ko phailae
KHizan ke nachte patton ki matami lai par
hawaen deti hain dastak mere darichon par
mujhe ye Dar hai na bujh jae teri sham-e-hayat
chal ab ki chal ke muqaffal karen ye darwaze
tujhe na chhin len mujh se mere raqib auqat
na jaane kya mere allah hone wala hai
muhib saya andhere mein thartharaata hai
baDha ke hath ye darwaza kis ne khol diya
ye teri samt dabe panw kaun aata hai
ye kis ne banhon mein ghabra ke bhar liya tujh ko
ki jaise dew ho shahzade ke fasanon ka
faza pe phunk gaya paDh ke maut ka afsun
har ek shai hai yahan teri tarah marg-asa
phir is tarah se tera paikar-e-nahif uDa
ki jaise gard koi aandhiyon ke sath chale
bhaTakti rah gai andhiyaron mein meri aawaz
charagh-e-qabr ki manind main ne hath male
har ek shahr mein tanha gali gali tanha
main phir raha hun tere gham ki lash uThae hue
KHizan ke waqt koi jaise barg-e-awara
rawish rawish pe KHud apne hi madfanon ko gine
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 102)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.