hawa ke hath par KHushbu
havā ke haath par ḳhushbū
udāsī shaam kī oḌhe
sukūt-e-bām-o-dar chhū kar
mohabbat kā yaqīñ kaise dilā.egī
ridā-e-dil-nashīñ shab kī
fazā-e-ḳhush-gumānī meñ
hasīñ sapne jo lā.egī
to apnī rā.egānī par
bahut aañsū bahā.egī
palaT jā.egī ye ḳhushbū
thakī haarī
havā kī us hathelī par
ki jis par gungunā.ī thī
hawa ke hath par KHushbu
udasi sham ki oDhe
sukut-e-baam-o-dar chhu kar
mohabbat ka yaqin kaise dilaegi
rida-e-dil-nashin shab ki
faza-e-KHush-gumani mein
hasin sapne jo laegi
to apni raegani par
bahut aansu bahaegi
palaT jaegi ye KHushbu
thaki haari
hawa ki us hatheli par
ki jis par gungunai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.