hawa ke kan mein kahna use bikhra ke aa jae
vo ik be-jān bādal hai
use uḌnā to aatā hai
baras kar apnī sūrat hū-ba-hū rakhnā nahīñ aatā
so jab is ḳhūb-sūrat ke
badan ke lams kī ḳhātir
barastā hai
bhigotā hai use taskīn se labrez kartā hai
to apnī hī shabāhat kā gumāñ rakhe
yaqīn ijz kar ke
is ke faanī jism se ris kar
zamīñ kā rizq bantā hai
to lagtā hai
kisī an-honī saa.at ne
zamīñ kī taal par gir ke
baqā kā giit chheḌā ho
wo ek be-jaan baadal hai
use uDna to aata hai
baras kar apni surat hu-ba-hu rakhna nahin aata
so jab is KHub-surat ke
badan ke lams ki KHatir
barasta hai
bhigota hai use taskin se labrez karta hai
to apni hi shabahat ka guman rakhe
yaqin ijz kar ke
is ke fani jism se ris kar
zamin ka rizq banta hai
to lagta hai
kisi an-honi saat ne
zamin ki tal par gir ke
baqa ka git chheDa ho
- Book : Pakistani Adab (Pg. 163)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.