hawa ruki hai to raqs-e-sharar bhi KHatm hua
Interesting Fact
(In memory of Prof. Malikzada Manzoor Ahmed)
qalam udaas hai lafzoñ meñ hashr barpā hai
havā rukī hai to raqs-e-sharar bhī ḳhatm huā
junūn-e-shauq junūn-e-safar bhī ḳhatm huā
furāt-e-jāñ
tirī maujoñ meñ ab ravānī nahīñ
koī fasāna nahīñ ab koī kahānī nahīñ
simaT ga.e haiñ kināre vo be-karānī nahīñ
to kyā ye nabz kā chalnā hī zindagānī hai
nahīñ nahīñ ye koī ziist kī nishānī nahīñ
ki saañs lenā faqat koī zindagānī nahīñ
kuchh aur rañg meñ aa.ī hai ye ḳhizāñ ab ke
hai simTī simTī sī ḳhud meñ hī ġhairat-e-nāhīd
miyān-e-ahl-e-tarīqat bhī be-ridā hai ġhazal
hujūm-e-ahl-e-zabāñ aur be-navā hai ġhazal
safar ye kaise kare ḳhārzār rastoñ par
thakan savār hai is par barahna-pā hai ġhazal
tumhārā saath jo chhūTā to ab pareshāñ hai
ki is taġhāful-e-be-jā pe saḳht hairāñ hai
ye kis maqām pe tum ne akelā chhoḌ diyā
tumheñ ḳhabar hai ki tum se bahut ḳhafā hai ġhazal
ye be-makānī
ye tanhā.ī aur ye dar-ba-darī
satā rahā hai bahut ab ḳhayāl-e-ham-safarī
salīb-o-dār-o-rasan se guzar rahī hai ġhazal
chale bhī aao kahāñ ho ki mar rahī hai ġhazal
siyah libās meñ nauhe udaas baiThe haiñ
saroñ ko thāme qasīde udaas baiThe haiñ
hai marsiye kī nigāhoñ meñ abr Thahrā huā
badan darīda latīfe udaas baiThe haiñ
ubhar rahī hai ye kaisī sadā-e-vāvailā
sirhāne dekho rubā.ī kā bain hotā hai
vo dekho
nazm-e-garebān chaak karte hue
duhā.ī detī hai maqtal ke isti.āroñ kī
alāmatoñ kī kināyoñ kī aur ishāroñ kī
bahut malūl haiñ shahr-e-suḳhan kī tahrīreñ
shab-e-alam ke haiñ qisse junūñ kī tafsīreñ
varaq varaq hai pareshāñ ġhubār-e-ḳhātir kā
huā hai nasr ko ehsās phir yatīmī kā
havā-e-shahr-e-sitam kis adā se guzrī hai
dahan ḳhamosh haiñ
chup chup se haiñ suḳhan ke charāġh
bujhī bujhī sī hai qindīl-e-ḳhānqāh-e-adab
dhuāñ dhuāñ haiñ
ḳhitābat ke fikr-o-fan ke charāġh
hai āsmān adab pe vo dhuñd chhā.ī huī
dikhā.ī detā nahīñ ab koī sitāra-e-nūr
kalām kā vo qarīna
vo guftugū kā shu.ūr
kahāñ se ab koī lā.egā sānī-e-manzūr
ajiib vaqt paḌā hai fan-e-nizāmat par
ki dam-ba-ḳhud se khaḌe haiñ ab 'anvar'-o-'manzūr'
vaqār kaise atā ho shikasta lahjoñ ko
rafū kare koī kaise darīda jumloñ ko
hai muskurānā zarūrī vaqār-e-ġham ke liye
tarāshe kaun zabāñ hurmate-qalam ke liye
tumhāre jaane se vīrān ho ga.ī mahfil
ujaḌ gayā hai ye dekho jahān-e-shahr-e-adab
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki ab kahāñ jaa.eñ
bhaTakte phirte haiñ ab sākinān-e-shahr-e-adab
ye mai-kade kī udāsī
ye jaam ulTe hue
ki jaise ro.e hoñ shab-bhar ye sāġhar-o-mīnā
ka.ī dinoñ se hañsī hī nahīñ hai collage-girl
tumhāre hijr ne patthar banā diyā hai use
bahut udaas baḌī be-qarār chup chup sī
ki huzn-o-yās kā manzar banā diyā hai use
vo dekho mez pe jitnī kitābeñ rakkhī haiñ
tumhārī gard rifāqat hai sab ke chehre par
pukārtī haiñ tumheñ ye adhūrī tahrīreñ
bikharte TūTte ḳhvāboñ kī tishna ta.abīreñ
ye ujḌā ujḌā dabistān DhūñDhtā hai tumheñ
chale bhī aao ki imkān DhūñDhtā hai tumheñ
jo ho sake to chale aao tum malik-zāda
magar ye ḳhvāhish-e-bejā
use ḳhabar hī nahīñ
ki jaane vaale kabhī lauT kar nahīñ aate
mahakte rahte haiñ gul-dān un kī yādoñ ke
sulagte rahte haiñ lobān un kī yādoñ ke
qalam udas hai lafzon mein hashr barpa hai
hawa ruki hai to raqs-e-sharar bhi KHatm hua
junun-e-shauq junun-e-safar bhi KHatm hua
furaat-e-jaan
teri maujon mein ab rawani nahin
koi fasana nahin ab koi kahani nahin
simaT gae hain kinare wo be-karani nahin
to kya ye nabz ka chalna hi zindagani hai
nahin nahin ye koi zist ki nishani nahin
ki sans lena faqat koi zindagani nahin
kuchh aur rang mein aai hai ye KHizan ab ke
hai simTi simTi si KHud mein hi ghairat-e-nahid
miyan-e-ahl-e-tariqat bhi be-rida hai ghazal
hujum-e-ahl-e-zaban aur be-nawa hai ghazal
safar ye kaise kare KHarzar raston par
thakan sawar hai is par barahna-pa hai ghazal
tumhaara sath jo chhuTa to ab pareshan hai
ki is taghaful-e-be-ja pe saKHt hairan hai
ye kis maqam pe tum ne akela chhoD diya
tumhein KHabar hai ki tum se bahut KHafa hai ghazal
ye be-makani
ye tanhai aur ye dar-ba-dari
sata raha hai bahut ab KHayal-e-ham-safari
salib-o-dar-o-rasan se guzar rahi hai ghazal
chale bhi aao kahan ho ki mar rahi hai ghazal
siyah libas mein nauhe udas baiThe hain
saron ko thame qaside udas baiThe hain
hai marsiye ki nigahon mein abr Thahra hua
badan darida latife udas baiThe hain
ubhar rahi hai ye kaisi sada-e-wawaila
sirhane dekho rubai ka bain hota hai
wo dekho
nazm-e-gareban chaak karte hue
duhai deti hai maqtal ke istiaron ki
alamaton ki kinayon ki aur ishaaron ki
bahut malul hain shahr-e-suKHan ki tahriren
shab-e-alam ke hain qisse junun ki tafsiren
waraq waraq hai pareshan ghubar-e-KHatir ka
hua hai nasr ko ehsas phir yatimi ka
hawa-e-shahr-e-sitam kis ada se guzri hai
dahan KHamosh hain
chup chup se hain suKHan ke charagh
bujhi bujhi si hai qindil-e-KHanqah-e-adab
dhuan dhuan hain
KHitabat ke fikr-o-fan ke charagh
hai aasman adab pe wo dhund chhai hui
dikhai deta nahin ab koi sitara-e-nur
kalam ka wo qarina
wo guftugu ka shuur
kahan se ab koi laega sani-e-manzur
ajib waqt paDa hai fan-e-nizamat par
ki dam-ba-KHud se khaDe hain ab 'anwar'-o-'manzur'
waqar kaise ata ho shikasta lahjon ko
rafu kare koi kaise darida jumlon ko
hai muskurana zaruri waqar-e-gham ke liye
tarashe kaun zaban hurmate-qalam ke liye
tumhaare jaane se viran ho gai mahfil
ujaD gaya hai ye dekho jahan-e-shahr-e-adab
samajh mein kuchh nahin aata ki ab kahan jaen
bhaTakte phirte hain ab sakinan-e-shahr-e-adab
ye mai-kade ki udasi
ye jam ulTe hue
ki jaise roe hon shab-bhar ye saghar-o-mina
kai dinon se hansi hi nahin hai collage-girl
tumhaare hijr ne patthar bana diya hai use
bahut udas baDi be-qarar chup chup si
ki huzn-o-yas ka manzar bana diya hai use
wo dekho mez pe jitni kitaben rakkhi hain
tumhaari gard rifaqat hai sab ke chehre par
pukarti hain tumhein ye adhuri tahriren
bikharte TuTte KHwabon ki tishna tabiren
ye ujDa ujDa dabistan DhunDhta hai tumhein
chale bhi aao ki imkan DhunDhta hai tumhein
jo ho sake to chale aao tum malik-zada
magar ye KHwahish-e-beja
use KHabar hi nahin
ki jaane wale kabhi lauT kar nahin aate
mahakte rahte hain gul-dan un ki yaadon ke
sulagte rahte hain loban un ki yaadon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.