hawa se baat karo
havā se baat karo
kaho ki us kī lagā.ī huī girah na khulī
vo dhuul tham na sakī dil ke ruḳh jo uḌtī thī
vo gard uThī nahīñ jo ā.inoñ pe baiThī thī
sabā se baat karo
sabā se baat karo kyā savāl thā us kā
visāl jis kā ta.ayyun na thā judā.ī se
kise pukār gayā
sadā se baat karo
yahī ki jin ko sar-e-dasht-o-bar pukārā gayā
vo sar-kashīda qabā.il kī sar-phirī aulād
kis zamīñ meñ khapī
kis falak kā rizq huī
qazā se baat karo
qazā se baat magar kyā
ki har qabīla-e-dard
ik aise jabr-e-azal-yāb kā havāla hai
jo pahle din kī gavāhī sanad meñ laatā hai
agar javāb se phir ik savāl bantā hai
fanā ke vāste kyoñ bāb-e-harf baaz rahe
bahā jahān kī lā hai to lā se baat karo
ibtidā se baat karo
hawa se baat karo
kaho ki us ki lagai hui girah na khuli
wo dhul tham na saki dil ke ruKH jo uDti thi
wo gard uThi nahin jo aainon pe baiThi thi
saba se baat karo
saba se baat karo kya sawal tha us ka
visal jis ka tayyun na tha judai se
kise pukar gaya
sada se baat karo
yahi ki jin ko sar-e-dasht-o-bar pukara gaya
wo sar-kashida qabail ki sar-phiri aulad
kis zamin mein khapi
kis falak ka rizq hui
qaza se baat karo
qaza se baat magar kya
ki har qabila-e-dard
ek aise jabr-e-azal-yab ka hawala hai
jo pahle din ki gawahi sanad mein lata hai
agar jawab se phir ek sawal banta hai
fana ke waste kyon bab-e-harf baz rahe
baha jahan ki la hai to la se baat karo
ibtida se baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.