hawaen an-paDh hain
ab ke baar phir
mauj-e-bahār ne
farsh-e-sabz par
sā.at-e-mahr meñ
hār-siñghār se
ham donoñ ke naam likhe haiñ
aur duā māñgī hai ki ''ai rātoñ ko jugnū dene vāle!
sūkhī huī miTTī ko ḳhushbū dene vāle!
shukr-guzār āñkhoñ ko aañsū dene vāle!
in donoñ kā saath na chhūTe''
aur sunā ye hai ki havā.eñ
ab ke baar bhī tez bahut haiñ
shahr-e-visāl se aane vaale mausam hijr-añgez bahut haiñ
ab ke bar phir
mauj-e-bahaar ne
farsh-e-sabz par
saat-e-mahr mein
haar-singhaar se
hum donon ke nam likhe hain
aur dua mangi hai ki ai raaton ko jugnu dene wale!
sukhi hui miTTi ko KHushbu dene wale!
shukr-guzar aankhon ko aansu dene wale!
in donon ka sath na chhuTe
aur suna ye hai ki hawaen
ab ke bar bhi tez bahut hain
shahr-e-visal se aane wale mausam hijr-angez bahut hain
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 481)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.