Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haweli

ek bosīda havelī yaanī farsūda samāj

le rahī hai naza.a ke aalam meñ murdoñ se ḳhirāj

ik musalsal gard meñ Duube hue sab bām-o-dar

jis taraf dekho añdherā jis taraf dekho khañDar

maar o kajdum ke Thikāne jis dīvāroñ ke chaak

uf ye raḳhne kis qadar tārīk kitne haul-nāk

jin meñ rahte haiñ mahājan jin meñ baste haiñ amiir

jin meñ kāshī ke barhaman jin meñ ka.abe ke faqīr

rahzanoñ qasr-e-shūrā qātiloñ ḳhvāb-gāh

khilkhilāte haiñ jarā.em jagmagāte haiñ gunāh

jis jagah kaTtā hai sar insāf īmān

roz o shab nīlām hotā hai jahāñ insān

ziist ko dars-e-ajal detī hai jis bārgāh

qahqaha ban kar nikaltī hai jahāñ har ek aah

sīm-o-zar devtā jis kabhī sotā nahīñ

zindagī bhuul kar jis guzar hotā nahīñ

hañs rahā hai zindagī par is tarah maazī haal

ḳhanda-zan ho jis tarah ismat pe qahba jamāl

ek jānib haiñ vahīñ in be-navāoñ ke giroh

haañ inhīñ be-nān o be-poshish gadāoñ ke giroh

jin ke dil kuchle hue jin tamannā pā.emāl

jhāñktā hai jin āñkhoñ se jahannam jalāl

ai ḳhudā-e-do-jahāñ ai vo jo har ik dil meñ hai

dekh tere haath shahkār kis manzil meñ hai

jāntā huuñ maut ham-sāz o hamdam kaun hai

kaun hai parvardigār-e-bazm-e-mātam kaun hai

koḌh ke dhabbe chhupā saktā nahīñ malbūs-e-dīñ

bhuuk ke shole bujh saktā nahīñ rūh-ul-amīñ

ai javāñ-sāl-e-jahāñ jān-e-jahān-e-zindagī

sārbān-e-zindagī rūh-e-ravān-e-zindagī!

jis ke ḳhūn-e-garam se bazm-e-charāġhāñ zindagī

jis ke firdausī tanaffus se gulistāñ zindagī

bijliyāñ jis kanīzeñ zalzale jis ke safīr

jis dil ḳhaibar-shikan jis nazar arjun tiir

haañ vo naġhma chheḌ jis se muskurā.e zindagī

to bajā-e-sāz-e-ulfat aur gaa.e zindagī

aa inhīñ khañDaroñ pe āzādī parcham khol deñ

aa inhīñ khañDaroñ pe āzādī parcham khol deñ

ek bosida haweli yani farsuda samaj

le rahi hai naza ke aalam mein murdon se KHiraj

ek musalsal gard mein Dube hue sab baam-o-dar

jis taraf dekho andhera jis taraf dekho khanDar

mar o kajdum ke Thikane jis ki diwaron ke chaak

uf ye raKHne kis qadar tarik kitne haul-nak

jin mein rahte hain mahajan jin mein baste hain amir

jin mein kashi ke barhaman jin mein kabe ke faqir

rahzanon ka qasr-e-shura qatilon ki KHwab-gah

khilkhilate hain jaraem jagmagate hain gunah

jis jagah kaTta hai sar insaf ka iman ka

roz o shab nilam hota hai jahan insan ka

zist ko dars-e-ajal deti hai jis ki bargah

qahqaha ban kar nikalti hai jahan har ek aah

sim-o-zar ka dewta jis ja kabhi sota nahin

zindagi ka bhul kar jis ja guzar hota nahin

hans raha hai zindagi par is tarah mazi ka haal

KHanda-zan ho jis tarah ismat pe qahba ka jamal

ek jaanib hain wahin in be-nawaon ke giroh

han inhin be-nan o be-poshish gadaon ke giroh

jin ke dil kuchle hue jin ki tamanna paemal

jhankta hai jin ki aankhon se jahannam ka jalal

ai KHuda-e-do-jahan ai wo jo har ek dil mein hai

dekh tere hath ka shahkar kis manzil mein hai

jaanta hun maut ka ham-saz o hamdam kaun hai

kaun hai parwardigar-e-bazm-e-matam kaun hai

koDh ke dhabbe chhupa sakta nahin malbus-e-din

bhuk ke shole bujh sakta nahin ruh-ul-amin

ai jawan-sal-e-jahan jaan-e-jahan-e-zindagi

sarban-e-zindagi ruh-e-rawan-e-zindagi!

jis ke KHun-e-garam se bazm-e-charaghan zindagi

jis ke firdausi tanaffus se gulistan zindagi

bijliyan jis ki kanizen zalzale jis ke safir

jis ka dil KHaibar-shikan jis ki nazar arjun ka tir

han wo naghma chheD jis se muskurae zindagi

to baja-e-saz-e-ulfat aur gae zindagi

aa inhin khanDaron pe aazadi ka parcham khol den

aa inhin khanDaron pe aazadi ka parcham khol den

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now