haweli maut ki dahliz par
havelī maut kī dahlīz par kab se khaḌī hai
chāñd ne bujh kar
sitāroñ ne udāsī oḌh kar
phūloñ ne ḳhushbū kā libāda pheñk kar
māhaul pas-az-marg kā tayyār kar Daalā hai
bas ik āḳhirī hichkī ke sab haiñ muntazir
saare a.izza-o-aqārib nauha-ḳhvānī ke liye
tayyār baiThe haiñ
havelī maut kī dahlīz par kab se khaḌī hai
us ke marne meñ agar kuchh der baaqī hai
to chal kar dūsre kuchh kaam kar Dāleñ
sadī kā dūsrā ashra
na.e āġhāz ke pul par khaḌā ho kar
samundar kī biphartī mauj ko lalkārtā hai
vaqt ke ġhavvās
sīpoñ meñ guhar khagāñte haiñ
ibn-e-ādam ke qabīle
rūh-e-mashriq kī purānī ghāTiyoñ se
ik ik kar ke nikalte haiñ
buḳhārā o samarqand uzbekistan o hirat
sab pe chhā.ī hai añdherī saḳht raat
lucknow aur akbarabad apnī shaukat kho rahe haiñ
marhabā shām-e-ġharībāñ
ab to chal kar dūsre kuchh kaam kar Dāleñ
havelī maut kī dahlīz par kab se khaḌī hai
haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai
chand ne bujh kar
sitaron ne udasi oDh kar
phulon ne KHushbu ka libaada phenk kar
mahaul pas-az-marg ka tayyar kar Dala hai
bas ek aaKHiri hichki ke sab hain muntazir
sare aizza-o-aqarib nauha-KHwani ke liye
tayyar baiThe hain
haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai
us ke marne mein agar kuchh der baqi hai
to chal kar dusre kuchh kaam kar Dalen
sadi ka dusra ashra
nae aaghaz ke pul par khaDa ho kar
samundar ki bipharti mauj ko lalkarta hai
waqt ke ghawwas
sipon mein guhar khagante hain
ibn-e-adam ke qabile
ruh-e-mashriq ki purani ghaTiyon se
ek ek kar ke nikalte hain
buKHara o samarqand uzbekistan o hirat
sab pe chhai hai andheri saKHt raat
lucknow aur akbarabad apni shaukat kho rahe hain
marhaba sham-e-ghariban
ab to chal kar dusre kuchh kaam kar Dalen
haweli maut ki dahliz par kab se khaDi hai
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.