hayula
mah o saal ke taane baane ko
zarrīñ shuāoñ kī gul-kāriyāñ
merī nazroñ ne baḳhshī haiñ
āfāq ke ḳhadd-o-ḳhāl-e-bahār-āfrīñ meñ
mire ḳhuuñ kī sauġhāt shāmil hai
har vus.at-e-be-karāñ meñ
mirī dhaḌkaneñ gūñjtī haiñ
har ik lamha koī na koī bagūla uThā
aur mire naqsh-e-pā ko miTāne kī dhun meñ chalā
lekin āvāz-e-pā kī garajtī ghaTāoñ se
Takrā ke dasht-e-ḳhamoshī meñ
gum ho gayā
har ik gaam samtoñ ne
sañgīñ shikanjoñ meñ kasne kī
hasrat ko rusvā kiyā
mirī fikr kī lau
sumūm o sabā kī
fusūñ-kāriyoñ se gurezāñ
musalsal farozāñ rahī
ye vo aañch hai jis kī hiddat se
har quvvat-e-sañg-sāzī pighaltī rahī
magar aaj merī anā ke hayūlā meñ
ḳhud-sāḳhta kuchh lakīreñ ubhar aa.ī haiñ
mujh ko Dar hai
kahīñ phailte phailte ye lakīreñ
mirī zaat ko paara paara na kar deñ
anāsir ko phir āshkāra na kar deñ
mah o sal ke tane bane ko
zarrin shuaon ki gul-kariyan
meri nazron ne baKHshi hain
aafaq ke KHadd-o-KHal-e-bahaar-afrin mein
mere KHun ki saughat shamil hai
har wusat-e-be-karan mein
meri dhaDkanen gunjti hain
har ek lamha koi na koi bagula uTha
aur mere naqsh-e-pa ko miTane ki dhun mein chala
lekin aawaz-e-pa ki garajti ghaTaon se
Takra ke dasht-e-KHamoshi mein
gum ho gaya
har ek gam samton ne
sangin shikanjon mein kasne ki
hasrat ko ruswa kiya
meri fikr ki lau
sumum o saba ki
fusun-kariyon se gurezan
musalsal farozan rahi
ye wo aanch hai jis ki hiddat se
har quwwat-e-sang-sazi pighalti rahi
magar aaj meri ana ke hayula mein
KHud-saKHta kuchh lakiren ubhar aai hain
mujh ko Dar hai
kahin phailte phailte ye lakiren
meri zat ko para para na kar den
anasir ko phir aashkara na kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.