hazar karo mere tan se
Interesting Fact
On Indo-Pak war of 1971
saje to kaise saje qatl-e-ām kā mela
kise lubhā.egā mere lahū kā vāvailā
mire nazār badan meñ lahū hī kitnā hai
charāġh ho koī raushan na koī jaam bhare
na is se aag hī bhaḌke na us se pyaas bujhe
mire figār badan meñ lahū hī kitnā hai
magar vo zahr-e-halāhal bharā hai nas nas meñ
jise bhī chhedo har ik buuñd qahr-e-af.ī hai
har ik kashīd hai sadiyoñ ke dard o hasrat kī
har ik meñ mohr-ba-lab ġhaiz o ġham kī garmī hai
hazar karo mire tan se ye sam kā dariyā hai
hazar karo ki mirā tan vo chob-e-sahrā hai
jise jalāo to sehn-e-chaman meñ dahkeñge
bajā.e-sarv-o-saman merī haDDiyoñ ke babūl
ise bikherā to dasht-o-daman meñ bikhregī
bajā.e-mushk-e-sabā merī jān-e-zār kī dhuul
hazar karo ki mirā dil lahū kā pyāsā hai
saje to kaise saje qatl-e-am ka mela
kise lubhaega mere lahu ka wawaila
mere nazar badan mein lahu hi kitna hai
charagh ho koi raushan na koi jam bhare
na is se aag hi bhaDke na us se pyas bujhe
mere figar badan mein lahu hi kitna hai
magar wo zahr-e-halahal bhara hai nas nas mein
jise bhi chhedo har ek bund qahr-e-afi hai
har ek kashid hai sadiyon ke dard o hasrat ki
har ek mein mohr-ba-lab ghaiz o gham ki garmi hai
hazar karo mere tan se ye sam ka dariya hai
hazar karo ki mera tan wo chob-e-sahra hai
jise jalao to sehn-e-chaman mein dahkenge
bajae-sarw-o-saman meri haDDiyon ke babul
ise bikhera to dasht-o-daman mein bikhregi
bajae-mushk-e-saba meri jaan-e-zar ki dhul
hazar karo ki mera dil lahu ka pyasa hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 460)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.