hello
kisī ne ye batāyā thā ki bas tum aane vaale ho
bahut achchhā kiyā tum ne
mirā ye bojh kam hogā
tumhārī chand chīzeñ thiiñ
zarā Thahro mujhe kuchh yaad karne do huuñ haañ
vafā kī be-asar qismeñ
mohabbat ke ka.ī da.ave
bahut be-rabt bātoñ ke ka.ī TuuTe hue TukḌe
hañsī kā khokhlā-pan bhī
purāne se ka.ī jhūTe bahānoñ ke zarā kuchh laḌkhaḌāte
Dagmagāte gaḌbaḌāte se sabhī jumle
mire kamre kī almārī yā phir shāyad darāzoñ meñ
kahīñ dekhe to the maiñ ne
yahīñ Thahro
maiñ tum ko lā ke detī huuñ
bahut sāmān bikhrā hai
mirā kuchh bojh kam hogā
kisi ne ye bataya tha ki bas tum aane wale ho
bahut achchha kiya tum ne
mera ye bojh kam hoga
tumhaari chand chizen thin
zara Thahro mujhe kuchh yaad karne do hun han
wafa ki be-asar qismen
mohabbat ke kai dawe
bahut be-rabt baaton ke kai TuTe hue TukDe
hansi ka khokhla-pan bhi
purane se kai jhuTe bahanon ke zara kuchh laDkhaDate
Dagmagate gaDbaDate se sabhi jumle
mere kamre ki almari ya phir shayad daraazon mein
kahin dekhe to the main ne
yahin Thahro
main tum ko la ke deti hun
bahut saman bikhra hai
mera kuchh bojh kam hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.