hidayat
vo patthar dil hai vo kyā dard jaane
kabhī aate nahīñ aañsū bahāne
nahīñ in pe asar hotā hai koī
balā se in kī jo rotā hai koī
bahut āsān in kā rāsta hai
mohabbat se inheñ kyā vāsta hai
hai in kā pyaar jhūTā baat jhūTī
farebī hai ye in kī zaat jhūTī
hai in kā kaam bas dhokā hī denā
nā koī baat in kī dil pe lenā
agar bātoñ meñ in kī aaogī tum
qasam se phir bahut pachhtaogī tum
kabhī aisā na koī kaam karnā
gharāne ko na tum badnām karnā
na rusvā zaat kā tum naam karnā
kabhī izzat ko mat nīlām karnā
ġhalat hāthoñ meñ ḳhud ko sauñpnā mat
koī paudhā ġhalat mat ropnā mat
wo patthar dil hai wo kya dard jaane
kabhi aate nahin aansu bahane
nahin in pe asar hota hai koi
bala se in ki jo rota hai koi
bahut aasan in ka rasta hai
mohabbat se inhen kya wasta hai
hai in ka pyar jhuTa baat jhuTi
farebi hai ye in ki zat jhuTi
hai in ka kaam bas dhoka hi dena
na koi baat in ki dil pe lena
agar baaton mein in ki aaogi tum
qasam se phir bahut pachhtaogi tum
kabhi aisa na koi kaam karna
gharane ko na tum badnam karna
na ruswa zat ka tum nam karna
kabhi izzat ko mat nilam karna
ghalat hathon mein KHud ko saunpna mat
koi paudha ghalat mat ropna mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.