hidayat
ye jo tum merī ḳhāmiyāñ ginā.e jā rahe ho
likh luuñ ke zarā yaad rah jaa.e
karūñ maiñ bhī ishq behad soch-samajh kar zindagī bhar kā mujhe bhī mafād rah jaa.e
ġhazab mas.ala hai ye mohabbat tumhārī
suljhā lo
kahīñ vo lafz aur ye harakat tumhārī na tazād rah jaa.e
lete jaao ye likhe ḳhat bhī tumhāre
mere aage baḌhne meñ na ye fasād rah jaa.e
kab kaise aur kahāñ jā.ūñgī ab sab dekhā jā.egā
naam na merā mere baad rah jaa.e
tum bhī muskurāo maiñ bhī muskurā.ūñ
chalte haiñ phir ab na koī inaad rah jaa.e
ye jo tum meri KHamiyan ginae ja rahe ho
likh lun ke zara yaad rah jae
karun main bhi ishq behad soch-samajh kar zindagi bhar ka mujhe bhi mafad rah jae
ghazab masala hai ye mohabbat tumhaari
suljha lo
kahin wo lafz aur ye harakat tumhaari na tazad rah jae
lete jao ye likhe KHat bhi tumhaare
mere aage baDhne mein na ye fasad rah jae
kab kaise aur kahan jaungi ab sab dekha jaega
nam na mera mere baad rah jae
tum bhi muskurao main bhi muskuraun
chalte hain phir ab na koi inad rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.