hijr ka aadha cup
chaa.e kā aadhā cup haath meñ liye
vo sīḌhiyoñ pe jā baiThī
raat
āḳhirī sāñseñ le rahī thī
chehre pe thakan ke āsār vāzeh the
ḳhushk hoñT
ḳhālī nigāheñ
dil ajiib iztirāb kā shikār thā
koī daaġh sulag rahā ho jaise
vo shāyad ronā chaah rahī thī
magar aañsū
ḳhushk ho chuke the
aur āñkheñ sahrā
koī hijr
āḳhirī sāñseñ le rahā thā
duur masjid meñ azaan kī āvāz gūñjī
vo uThī
bārgāh-e-ilāhī meñ sajda-rez ho ga.ī
ḳhushk āñkheñ tar ho chukī thiiñ
haañ
vo chaa.e kā aadhā cup
hijr samet
vahāñ sīḌhiyoñ pe hī ThanDā ho chukā thā
chae ka aadha cup hath mein liye
wo siDhiyon pe ja baiThi
raat
aaKHiri sansen le rahi thi
chehre pe thakan ke aasar wazeh the
KHushk honT
KHali nigahen
dil ajib iztirab ka shikar tha
koi dagh sulag raha ho jaise
wo shayad rona chah rahi thi
magar aansu
KHushk ho chuke the
aur aankhen sahra
koi hijr
aaKHiri sansen le raha tha
dur masjid mein azan ki aawaz gunji
wo uThi
bargah-e-ilahi mein sajda-rez ho gai
KHushk aankhen tar ho chuki thin
han
wo chae ka aadha cup
hijr samet
wahan siDhiyon pe hi ThanDa ho chuka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.